mere dil mein utar gaya suraj
mere dil men utar gaya suraj tirgi men nikhar gaya suraj dars de kar hamen ujale ka khud andhere ke ghar gaya suraj ham se va'da tha ik savere ka haae kaisa mukar gaya suraj chandni aks chand aina aaine men sanvar gaya suraj dubte vaqt zard tha utna log samjhe ki mar gaya suraj mere dil mein utar gaya suraj tirgi mein nikhar gaya suraj dars de kar hamein ujale ka khud andhere ke ghar gaya suraj hum se wa'da tha ek sawere ka hae kaisa mukar gaya suraj chandni aks chand aaina aaine mein sanwar gaya suraj dubte waqt zard tha utna log samjhe ki mar gaya suraj