Poetry Collection

Maikada

Tavern is a place in Urdu poetry which has emerged as a powerful symbol. This is the place where the pious ones meet the profane ones and shy away from each other. A tavern is also an institution with its own constituents like the cup bearer, the preacher, and the mosque etc. This selection of verses on tavern will bring you to a different world where you will meet with a diverse set of characters and situations.

Total

57

Sher

50

Ghazal

7

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya

main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya ghham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya itni daqiq shai koi kaise samajh sake yazdan ke vaqiat se ghabra ke pi gaya chhalke hue the jaam pareshan thi zulf-e-yar kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya main aadmi huun koi farishta nahin huzur main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya duniya-e-hadsat hai ik dardnak giit duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya kante to khair kante hain is ka gila hi kya phulon ki vardat se ghabra ke pi gaya 'saghhar' vo kah rahe the ki pi lijiye huzur un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya itni daqiq shai koi kaise samajh sake yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya main aadmi hun koi farishta nahin huzur main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya duniya-e-hadsat hai ek dardnak git duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya kante to khair kante hain is ka gila hi kya phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya 'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya

GhazalRead Full

kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi

kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the vo aenge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi

GhazalRead Full

hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya

hans hans ke jaam jaam ko chhalka ke pi gaya vo khud pila rahe the main lahra ke pi gaya tauba ke tutne ka bhi kuchh kuchh malal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya saghhar-ba-dast baithi rahi meri aarzu saaqi shafaq se jaam ko takra ke pi gaya vo dushmanon ke tanz ko thukra ke pi gae main doston ke ghhaiz ko bhadka ke pi gaya sadha mutalibat ke baad ek jam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pi gaya sau baar laghhzishon ki qasam kha ke chhod di sau baar chhodne ki qasam kha ke pi gaya piita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam' saaqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya wo khud pila rahe the main lahra ke pi gaya tauba ke tutne ka bhi kuchh kuchh malal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya saghar-ba-dast baithi rahi meri aarzu saqi shafaq se jam ko takra ke pi gaya wo dushmanon ke tanz ko thukra ke pi gae main doston ke ghaiz ko bhadka ke pi gaya sadha mutalibaat ke baad ek jam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pi gaya sau bar laghzishon ki qasam kha ke chhod di sau bar chhodne ki qasam kha ke pi gaya pita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam' saqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya

GhazalRead Full

man mausam ka kaha chhai ghata jam utha

maan mausam ka kaha chhai ghata jaam utha aag se aag bujha phuul khila jaam utha pi mire yaar tujhe apni qasam deta huun bhuul ja shikva gila haath mila jaam utha haath men chand jahan aaya muqaddar chamka sab badal jaega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahan haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahan mai-kade men koi chhota na bada jaam utha man mausam ka kaha chhai ghata jam utha aag se aag bujha phul khila jam utha pi mere yar tujhe apni qasam deta hun bhul ja shikwa gila hath mila jam utha hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka sab badal jaega qismat ka likha jam utha ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa der kya karna yahan hath badha jam utha pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan mai-kade mein koi chhota na bada jam utha

GhazalRead Full

aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab

aftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab thaam le dast-e-subu aae jo chalne men lachak khat-e-baghhdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko is tarah hosh udaao asar-e-jam-e-sharab saghhar-e-mai men nahin partav-e-khal-e-saqi hai kaf-e-dukhtar-e-raz men sipar-e-jam-e-sharab khaak mai-khane ki ban jaati qayamat pis kar har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab aaj mai-noshon ka majmaa hai kahan ai saaqi kaun si bazm men hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab jitne mai-khvar hain saaqi se gale milte hain sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab shisha-e-mai se uda kaag kabutar ki tarah naama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar hai mire samne teghh-o-sipar-e-jam-e-sharab mai pilata hai agar dhanp le siina saaqi tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab aftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab dast-e-saqi men rahe dast-e-qadah-kash men rahe gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast lazzat-e-naghhma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab kya ghhazab hai ki tira honth na chuse 'mail' aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak khat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko is tarah hosh udao asar-e-jam-e-sharab saghar-e-mai mein nahin partaw-e-khal-e-saqi hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab khak mai-khane ki ban jati qayamat pis kar har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab jitne mai-khwar hain saqi se gale milte hain sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab shisha-e-mai se uda kag kabutar ki tarah nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab mai pilata hai agar dhanp le sina saqi tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab kya ghazab hai ki tera honth na chuse 'mail' aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Maikada FAQs

Maikada collection me kya milega?

Maikada se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.