sab ik charaghh ke parvane hona chahte hain ajiib log hain divane hona chahte hain
Poetry Collection
Parwana
Moth that sheds its life whirling round a lamp has emerged as a strong metaphor in Urdu poetry. Classical Urdu poetry has exploited the metaphoric value of this spectacle in most creative ways. You may like to see some of the examples around this theme.
Total
23
Sher
22
Ghazal
1
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu jaata kahan hai shama ko parvana chhod kar
parvanon ka to hashr jo hona tha ho chuka guzri hai raat shama pe kya dekhte chalen
mat karo shama kuun badnam jalati vo nahin aap siin shauq patangon ko hai jal jaane ka
cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear the moths are
parvane aa hi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq mahfil men sirf shama jalane ki der hai
ishq men nisbat nahin bulbul ko parvane ke saath vasl men vo jaan de ye hijr men jiiti rahe
shama bujh kar rah gai parvana jal kar rah gaya yadgar-e-husn-o-ishq ik daaghh dil par rah gaya
ye apne dil ki lagi ko bujhane aate hain parai aag men jalte nahin hain parvane
they come to extinguish the fire in their heart in senseless immolation the moths do not take part
parvane ki tapish ne khuda jaane kaan men kya kah diya ki shama ke sar se dhuan utha
mujid jo nuur ka hai vo mera charaghh hai parvana huun main anjuman-e-kaenat ka
vo shama kare fakhr bhala khud pe to kaise dahliz pe jis ki koi parvana nahin hai
nazron men tasadum dil men chubhan ik shama hai ik parvana hai donon hi men baten hoti hain avaz ka lekin naam nahin
khaak kar deve jala kar pahle phir tisve bahae shama majlis men badi dil-soz parvane ki hai
misl-e-parvana fida har ek ka dil ho gaya yaar jis mahfil men baitha sham-e-mahfil ho gaya
shama par khuun ka ilzam ho sabit kyun-kar phunk di laash bhi kambakht ne parvane ki
sab ik charaghh ke parvane hona chahte hain ajiib log hain divane hona chahte hain
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu jaata kahan hai shama ko parvana chhod kar
parvanon ka to hashr jo hona tha ho chuka guzri hai raat shama pe kya dekhte chalen
misl-e-parvana fida har ek ka dil ho gaya yaar jis mahfil men baitha sham-e-mahfil ho gaya
mat karo shama kuun badnam jalati vo nahin aap siin shauq patangon ko hai jal jaane ka
cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear the moths are
khud hi parvane jal gae varna shama jalti hai raushni ke liye
the moths got burned in their own plight the flame just burns to shed some light
shama par khuun ka ilzam ho sabit kyun-kar phunk di laash bhi kambakht ne parvane ki
ishq men nisbat nahin bulbul ko parvane ke saath vasl men vo jaan de ye hijr men jiiti rahe
shama bujh kar rah gai parvana jal kar rah gaya yadgar-e-husn-o-ishq ik daaghh dil par rah gaya
ye apne dil ki lagi ko bujhane aate hain parai aag men jalte nahin hain parvane
they come to extinguish the fire in their heart in senseless immolation the moths do not take part
parvane ki tapish ne khuda jaane kaan men kya kah diya ki shama ke sar se dhuan utha
mujid jo nuur ka hai vo mera charaghh hai parvana huun main anjuman-e-kaenat ka
vo shama kare fakhr bhala khud pe to kaise dahliz pe jis ki koi parvana nahin hai
nazron men tasadum dil men chubhan ik shama hai ik parvana hai donon hi men baten hoti hain avaz ka lekin naam nahin
khaak kar deve jala kar pahle phir tisve bahae shama majlis men badi dil-soz parvane ki hai
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Parwana FAQs
Parwana collection me kya milega?
Parwana se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.