na fikr sidra-nashin meri na rifat-e-asman meri
na fikr sidra-nashin meri na rif'at-e-asman meri nihal-e-ghham par mira basera hare shajar tak udaan meri sada ke raste pe shahr-e-mafhum duur se dur-tar laga hai mira har ik lafz pa-burida khalal-girafta zaban meri kahin to ma'dumiyon ki sham'on men nim-raushan tha naam mera kahin pe mahrumiyon men bhigi rahi shab-e-be-nishan meri bas ek aansu ke dakhl ne manzar-e-vafa ko badal diya tha bas ek mauj-e-khafi ke aage khas-e-ravan thi chatan meri ye atishin tiir kis makan se shab-e-munajat aa laga hai dhuan dhuan hai kitab meri lahu lahu hai zaban meri na fikr sidra-nashin meri na rif'at-e-asman meri nihaal-e-gham par mera basera hare shajar tak udan meri sada ke raste pe shahr-e-mafhum dur se dur-tar laga hai mera har ek lafz pa-burida khalal-girafta zaban meri kahin to ma'dumiyon ki sham'on mein nim-raushan tha nam mera kahin pe mahrumiyon mein bhigi rahi shab-e-be-nishan meri bas ek aansu ke dakhl ne manzar-e-wafa ko badal diya tha bas ek mauj-e-khafi ke aage khas-e-rawan thi chatan meri ye aatishin tir kis makan se shab-e-munajat aa laga hai dhuan dhuan hai kitab meri lahu lahu hai zaban meri