ankhon men jo baat ho gai hai ik sharh-e-hayat ho gai hai jab dil ki vafat ho gai hai har chiiz ki raat ho gai hai ghham se chhut kar ye ghham hai mujh ko kyuun ghham se najat ho gai hai muddat se khabar mili na dil ki shayad koi baat ho gai hai jis shai pe nazar padi hai teri tasvir-e-hayat ho gai hai ab ho mujhe dekhiye kahan subh un zulfon men raat ho gai hai dil men tujh se thi jo shikayat ab ghham ke nikat ho gai hai iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo mujh se ik baat ho gai hai jo chiiz bhi mujh ko haath aai teri saughhat ho gai hai kya janiye maut pahle kya thi ab meri hayat ho gai hai ghatte ghatte tiri inayat meri auqat ho gai hai us chashm-e-siyah ki yaad yaksar sham-e-zulmat ho gai hai is daur men zindagi bashar ki bimar ki raat ho gai hai jiiti hui bazi-e-mohabbat khela huun to maat ho gai hai mitne lagin zindagi ki qadren jab ghham se najat ho gai hai vo chahen to vaqt bhi badal jaae jab aae hain raat ho gai hai duniya hai kitni be-thikana ashiq ki barat ho gai hai pahle vo nigah ik kiran thi ab barq-sifat ho gai hai jis chiiz ko chhu diya hai tu ne ik barg-e-nabat ho gai hai ikka-dukka sada-e-zanjir zindan men raat ho gai hai ek ek sifat 'firaq' us ki dekha hai to zaat ho gai hai aankhon mein jo baat ho gai hai ek sharh-e-hayat ho gai hai jab dil ki wafat ho gai hai har chiz ki raat ho gai hai gham se chhut kar ye gham hai mujh ko kyun gham se najat ho gai hai muddat se khabar mili na dil ki shayad koi baat ho gai hai jis shai pe nazar padi hai teri taswir-e-hayat ho gai hai ab ho mujhe dekhiye kahan subh un zulfon mein raat ho gai hai dil mein tujh se thi jo shikayat ab gham ke nikat ho gai hai iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo mujh se ek baat ho gai hai jo chiz bhi mujh ko hath aai teri saughat ho gai hai kya jaaniye maut pahle kya thi ab meri hayat ho gai hai ghatte ghatte teri inayat meri auqat ho gai hai us chashm-e-siyah ki yaad yaksar sham-e-zulmat ho gai hai is daur mein zindagi bashar ki bimar ki raat ho gai hai jiti hui bazi-e-mohabbat khela hun to mat ho gai hai mitne lagin zindagi ki qadren jab gham se najat ho gai hai wo chahen to waqt bhi badal jae jab aae hain raat ho gai hai duniya hai kitni be-thikana aashiq ki baraat ho gai hai pahle wo nigah ek kiran thi ab barq-sifat ho gai hai jis chiz ko chhu diya hai tu ne ek barg-e-nabaat ho gai hai ikka-dukka sada-e-zanjir zindan mein raat ho gai hai ek ek sifat 'firaq' us ki dekha hai to zat ho gai hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
More from Firaq Gorakhpuri
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
bastiyaan Dhoondh rahi hain unhen veeraanon men vahshatein badh gaiin had se tire deewaanon men nigah-e-naaz na deewaanon na farzaanon men jaankaar ek vahii hai magar an-jaanon men bazm-e-may be-khud-o-be-taab na kyun ho saaqi mauj-e-baada hai ki dard uthata hai paimaanon men main to main chaunk u thii hai ye faza-e-khaamosh ye sadaa kab ki sooni aati hai phir kaanon men sair kar ujde dilon ki jo tabeeyat hai udaas jee bahl jaate hain akshar inheen veeraanon men wusaaten bhi hain nihaan tangi-e-dil men ghaafil jee bahl jaate hain akshar inheen maidaanon men jaan eemaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon kuchh kashish-ha-e-nihaan jazb hain veeraanon men khanda-e-subh-e-azal teergi-e-shaam-e-abad dono aalam hain chhalakte hue paimaanon men dekh jab aalam-e-hoo ko to naya aalam hai bastiyaan bhi nazar aane lagin veeraanon men jis jagah baith ga.e aag laga kar utthe garmiyaan hain kuchh abhii sokhta-saamaanoń men vahshatein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz daamanoń men hai ye aalam na garebaanon men ek rangeeni-e-zaahir hai gulistaan men agar ek shaadabi-e-pinhaan hai biyaabaanon men jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaaz-e-junoon kuchh biyaabaan nazar aa.e hain garebaanon men ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo aasaar-e-junoon bhi nahin deewaanon men ab vo saaqi ki bhi aañkhen na raheen rindon men ab vo saaghar bhi chhalakte nahin may-khaanon men ab vo ik soz-e-nihaani bhi dilon men na raha ab vo jalwe bhi nahin ishq ke kaashaanon men ab na vo raat jab ummeedein bhi kuchh theen tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsaano men ab tira kaam hai bas ahl-e-wafa ka paana ab tira naam hai bas ishq ke gham-khaanon men ta-b-kai waada-e-mauhoom ki tafseel firaq shab-e-furqat kahii kattee hai in afsaano men
Firaq Gorakhpuri
2 likes
sitaaron se uljhta ja raha hooñ shab-e-furqat bahut ghabra raha hooñ tire gham ko bhi kuchh bahla raha hooñ jahaan ko bhi samajhta ja raha hooñ yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaan ye hai ki dhoke kha raha hooñ agar mumkin ho le le apni aahat khabar do husn ko main aa raha hooñ hadein husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat dhaa raha hooñ khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire haathon men lutta ja raha hooñ asar bhi le raha hooñ teri chup ka tujhe qaail bhi karta ja raha hooñ bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyun sharmaa raha hooñ unhin men raaz hain gul-baariyon ke main jo chingaariyaan barsa raha hooñ jo un maasoom aankhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha hooñ tire pahluu men kyun hota hai mehsoos ki tujh se door hota ja raha hooñ had-e-jor-o-karam se badh chala husn nigah-e-yaar ko yaad aa raha hooñ jo uljhi thii kabhi aadam ke haathon vo gut thii aaj tak suljhaa raha hooñ mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhoolta sa ja raha hooñ ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai vo nag men zindagi ke ga raha hooñ ye sannaata hai mere paanv ki chaap firaq apni kuchh aahat pa raha hooñ
Firaq Gorakhpuri
2 likes
deedaar men ik turfah deedaar nazar aaya har baar chhupa koi har baar nazar aaya chhaalon ko biyaabaan bhi gulzaar nazar aaya jab chhed par aamada har khaar nazar aaya subh-e-shab-e-hijraan ki vo chaak-garebaani ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya ho sabr ki betaabi ummeed ki maayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thii chhaai hui dil par is mulk ka har khitaa taataar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thii vo jaati hui duniya kya aakhri lamhon men beemaar nazar aaya ghash kha ke gire moosa allah-ree maayusi halka sa vo parda bhi deewaar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hasti men makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yuñ to hua jo kuchh be-kaar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko ma'amura-e-aalam ki koi gham-e-furqat men gham-khwaar nazar aaya shab kat gaii furqat ki dekha na firaq aaKHir tool-e-gham-e-hijraan bhi be-kaar nazar aaya
Firaq Gorakhpuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







