baadshaahon ko sikhaaya hai qalander hona aap aasaan samjhte hain munavvar hona ek aañsu bhi hukoomat ke li.e khatra hai tum ne dekha nahin aankhoñ ka samundar hona sirf bacchon ki mohabbat ne qadam rok li.e warna aasaan tha mere li.e be-ghar hona ham ko ma'aloom hai shohrat ki bulan dii ham ne qabr ki miTTi ka dekha hai barabar hona is ko qismat ki kharaabi hi kaha jaayega aap ka shahar men aanaa mira baahar hona sochta hooñ to kahaanii ki tarah lagta hai raaste se mira takna tira chat par hona mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna ek e'zaaz hai us dar ka gadaagar hona sirf taarikh bataane ke li.e zinda hooñ ab mira ghar men bhi hona hai calendar hona
Related Ghazal
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
to kya ye aakhiri KHvaahish hai achha bhool jaaun jahaan bhi jo bhi hai tere alaava bhool jaaun to kya ye doosra hi ishq asli ishq samjhoon to pehla tajarbe kii den men tha bhool jaaun to kya itnaa hi aasaan hai kisi ko bhool jaana ki bas baaton hi baaton men bhulaata bhool jaaun kabhi kahtaa hooñ us..ko yaad rakhna theek hogaa magar phir sochta hooñ faaeda kya bhool jaaun ye koii qatl thodii hai ki baat aayi gaii ho main aur apna nazar-andaaz hona bhool jaaun hai itni juziyaat is saanhe kii poochiye mat main kya kya yaad rakhoon aur kya kya bhool jaaun koii kab tak kisi kii be-vafaaii yaad rakhe bahut mumkin hai main bhi rafta rafta bhool jaaun to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge javvaad ki vo hai bhi isi laaiq lihaaza bhool jaaun
Jawwad Sheikh
42 likes
kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo
Ajmal Siraj
50 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
pitaa ke maathe aaya bas shikan ka dukh kisi muflis se poochho pairhan ka dukh sabhi ne raam ka hi kasht dekha bas tha dasharath ki bhi aankhoñ men vachan ka dukh faqat dilbar ke jismoon tak hi seemit haina jaane kyuuñ suKHan-var ke sukhun ka dukh mohabbat men kalaaee kaatne waale samjhte hi nahin akshar behn ka dukh bina marzi kisi se byah dii jaa.e vahii ladki bataayegi chhuan ka dukh gale bhi lag na paa.e vasl men uske bhala ab aur kya hogaa badan ka dukh yahaañ har shaKHs khun ka pyaasa lagta hai yaqeenan mazhabi ghin hai watan ka dukh mujhe footpath ka manzar bataata hai ki mazdooron ne chakkha hai thakan ka dukh
Harsh saxena
16 likes
More from Munawwar Rana
chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai
Munawwar Rana
5 likes
aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
Munawwar Rana
1 likes
ye but jo ham ne dobara banaa ke rakha hai isee ne ham ko tamasha banaa ke rakha hai vo kis tarah ha men ina'am se nawaazega vo jis ne haathon ko kaasa banaa ke rakha hai yahaañ pe koi bachaane tumhein na aayega samundron ne jazeera banaa ke rakha hai tamaam umr ka haasil hai ye hunar meraa ki main ne sheeshe ko heera banaa ke rakha hai kise kise abhii sajda-guzaar hona hai ameer-e-shahr ne khaata banaa ke rakha hai main bach gaya to yaqeenan ye mo'jiza hogaa s abhii ne mujh ko nishaana banaa ke rakha hai koi bataa de ye suraj ko ja ke ham ne bhi shajar ko dhoop men chaata banaa ke rakha hai
Munawwar Rana
3 likes
mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai
Munawwar Rana
5 likes
duniya tiri raunaq se main ab oob raha hooñ tu chaand mujhe kahti thii main doob raha hooñ ab koi shanaasa bhi dikhaai nahin deta barson main isee shahar ka mahboob raha hooñ main KHvaab nahin aap ki aankhoñ ki tarah tha main aap ka lahjaa nahin usloob raha hooñ ruswaai mire naam se mansoob rahi hai main KHud kahaan ruswaai se mansoob raha hooñ sachchaai to ye hai ki tire qarya-e-dil men ik vo bhi zamaana tha ki main khoob raha hooñ us shahar ke patthar bhi gawaahi mirii denge sehra bhi bataa dega ki majzoob raha hooñ duniya mujhe saahil se khadi dekh rahi hai main ek jazeera ki tarah doob raha hooñ shohrat mujhe milti hai to chup-chaap khadi rah ruswaai main tujh se bhi to mansoob raha hooñ fenk aa.e the mujh ko bhi mire bhaai kuein men main sabr men bhi hazrat-e-ayyoob raha hooñ
Munawwar Rana
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.







