bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain tujhe ai zindagi ham duur se pahchan lete hain miri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain jise kahti hai duniya kamyabi vaae na-dani use kin qimaton par kamyab insan lete hain nigah-e-bada-gun yuun to tiri baton ka kya kahna tiri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain tabiat apni ghabrati hai jab sunsan raton men ham aise men tiri yadon ki chadar taan lete hain khud apna faisla bhi ishq men kaafi nahin hota use bhi kaise kar guzren jo dil men thaan lete hain hayat-e-ishq ka ik ik nafas jam-e-shahadat hai vo jan-e-naz-bardaran koi asan lete hain ham-ahangi men bhi ik chashni hai ikhtilafon ki miri baten ba-unvan-e-digar vo maan lete hain tiri maqbuliyat ki vajh vahid teri ramziyyat ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar janen khuda-e-do-jahan ko de ke ham insan lete hain jise surat batate hain pata deti hai sirat ka ibarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat men ham apne sar tira ai dost har ehsan lete hain hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai to teri har nazar se ham naya paiman lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-vaqt-e-akhir hai tira ai maut ham ye dusra ehsan lete hain zamana vardat-e-qalb sunne ko tarasta hai isi se to sar ankhon par mira divan lete hain 'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchan lete hain bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani use kin qimaton par kaamyab insan lete hain nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hain hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain ham-ahangi mein bhi ek chashni hai ikhtilafon ki meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen khuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain jise surat batate hain pata deti hai sirat ka ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat mein hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai to teri har nazar se hum naya paiman lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-akhir hai tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain 'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
More from Firaq Gorakhpuri
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
waqt-e-ghuroob aaj karaamaat ho gaii zulfon ko us ne khol diya raat ho gaii kal tak to us men aisi karaamat na thii koi vo aankh aaj qibla-e-haajaat ho gaii ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya banaa diya meri har ek saans munaajat ho gaii ochi nigaah daal ke ik samt rakh diya dil kya diya gareeb ki sougaat ho gaii kuchh yaad aa gaii thii vo zulf-e-shikan-shikan hasti tamaam chashma-e-zulmaat ho gaii ahl-e-watan se door judaai men yaar ki sabr aa gaya firaq karaamaat ho gaii
Firaq Gorakhpuri
2 likes
sitaaron se uljhta ja raha hooñ shab-e-furqat bahut ghabra raha hooñ tire gham ko bhi kuchh bahla raha hooñ jahaan ko bhi samajhta ja raha hooñ yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaan ye hai ki dhoke kha raha hooñ agar mumkin ho le le apni aahat khabar do husn ko main aa raha hooñ hadein husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat dhaa raha hooñ khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire haathon men lutta ja raha hooñ asar bhi le raha hooñ teri chup ka tujhe qaail bhi karta ja raha hooñ bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyun sharmaa raha hooñ unhin men raaz hain gul-baariyon ke main jo chingaariyaan barsa raha hooñ jo un maasoom aankhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha hooñ tire pahluu men kyun hota hai mehsoos ki tujh se door hota ja raha hooñ had-e-jor-o-karam se badh chala husn nigah-e-yaar ko yaad aa raha hooñ jo uljhi thii kabhi aadam ke haathon vo gut thii aaj tak suljhaa raha hooñ mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhoolta sa ja raha hooñ ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai vo nag men zindagi ke ga raha hooñ ye sannaata hai mere paanv ki chaap firaq apni kuchh aahat pa raha hooñ
Firaq Gorakhpuri
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







