bhula bhi de use jo baat ho gaii pyaare naye charaaghh jala raat ho gaii pyaare tiri nigaah-e-pashemaan ko kaise dekhoonga kabhi jo tujh se mulaqaat ho gaii pyaare na teri yaad na duniya ka gham na apna khayal ajeeb soorat-e-haalat ho gaii pyaare udaas udaas hain shamaein bujhe bujhe saaghar ye kaisi shaam-e-kharaabaat ho gaii pyaare vafaa ka naam na lega koi zamaane men ham ahl-e-dil ko agar maat ho gaii pyaare tumhein to naaz bahut doston pe tha jaalib alag-thalag se ho kya baat ho gaii pyaare
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
jhuk ke chaltaa hooñ ki qad uske barabar na lage doosra ye ki use raah men thokar na lage ye tere saath ta'alluq ka badaa faayda hai aadmi ho bhi to auqaat se baahar na lage neem tareek sa maahol hai darkaar mujhe aisa maahol jahaan aankh lage dar na lage maaoon ne choomna hote hain burida sar bhius se kehna ki koi zakham jabeen par na lage ye talabgaar nigaahon ke taqaze har soo koi to aisi jagah ho jo mujhe ghar na lage ye jo aaina hai dekhooñ to khala dikhta hai is jagah kuchh bhi na lagwaaoon to behtar na lage tum ne chhodaa to kisi aur se takraaoonga. main kaise mumkin hai ki andhe ka kahii sar na lage
Umair Najmi
46 likes
tareekiyo ko aag lage aur diya jale ye raat bein karti rahe aur diya jale us ki zabaan men itnaa asar hai ki nisf shab vo raushni ki baat kare aur diya jale tum chahte ho tum se bichhad ke bhi KHush rahoon ya'ni hawa bhi chalti rahe aur diya jale kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau phir to meraa mazaar bane aur diya jale suraj to meri aankh se aage ki cheez hai main chahta hooñ shaam dhale aur diya jale tum lautne men der na karna ki ye na ho dil teergii men gher chuke aur diya jale
Tehzeeb Hafi
63 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Habib Jalib
us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya
Habib Jalib
1 likes
vo dekhne mujhe aanaa to chahta hogaa magar zamaane ki baaton se dar gaya hogaa use tha shauq bahut mujh ko achha rakhne ka ye shauq auron ko shaayad bura laga hogaa kabhi na hadd-e-adab se badhe the deeda o dil vo mujh se kis li.e kisi baat par KHafaa hogaa mujhe gumaan hai ye bhi yaqeen ki had tak kisi se bhi na vo meri tarah mila hogaa kabhi kabhi to sitaaron ki chaanv men vo bhi mire khayal men kuchh der jaagta hogaa vo us ka saada o maasoom vaalehaana-pan kisi bhi jug men koi devta bhi kya hogaa nahin vo aaya to jaalib gilaa na kar us ka na-jaane kya use darpaish mas'ala hogaa
Habib Jalib
0 likes
aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah
Habib Jalib
1 likes
kuchh log khayaalon se chale jaayen to soyen beete hue din raat na yaad aayen to soyen chehre jo k abhii ham ko dikhaai nahin denge aa aa ke tasavvur men na tardpaayen to soyen barsaat ki rut ke vo tarab-rez manaazir seene men na ik aag si bharkaayen to soyen subhon ke muqaddar ko jagaate hue mukhde aanchal jo nigaahon men na leharaayen to soyen mehsoos ye hota hai abhii jaag rahe hain lahore ke sab yaar bhi so jaayen to soyen
Habib Jalib
0 likes
kahii aah ban ke lab par tira naam aa na jaa.e tujhe be-vafa kahooñ main vo maqaam aa na jaa.e zaraa zulf ko sambhalo mira dil dhadak raha hai koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaa.e jise sun ke toot jaa.e mira aarzoo bhara dil tiri anjuman se mujh ko vo payaam aa na jaa.e vo jo manzilon pe la kar kisi hum-safar ko looten unhin rahzano men teraa kahii naam aa na jaa.e isee fikr men hain ghaltan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai vo nizaam aa na jaa.e ye mah o nujoom hañs len mire aañsuon pe jaalib mira mahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaa.e
Habib Jalib
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Habib Jalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.







