bolta hai to pata lagta hai zakham uskaa bhi haraa lagta hai raas aa jaati hai tanhaaii bhi ek do roz bura lagta hai kitnii zalim hai mohajjab duniya ghar se niklo to pata lagta hai aaj bhi vo nahin aane vaala aaj ka din bhi gaya lagta hai bojh seene pe bahut hai lekin muskuraa dene men kya lagta hai mood achha ho to sab achha hai warna hansna bhi bura lagta hai
Related Ghazal
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Ahmad Abdullah
50 likes
samandar ulta seedha bolta hai saleeqe se to pyaasa bolta hai yahaan to uskaa paisa bolta hai wahaan dekhenge vo kya bolta hai tumhaare saath udaane bolti hai hamaare saath pinjra bolta hai nigaahen karti rah jaati hain hijje vo jab chehre se imlaa bolta hai main chup rehta hooñ itnaa bol kar bhi tu chup rah kar bhi k itnaa bolta hai main har shayar men ye bhi dekhta hooñ bina mashq ke vo kya bolta hai
Fahmi Badayuni
40 likes
paraai aag pe roti nahin banaoonga main bheeg jaaunga chhatri nahin banaoonga agar KHuda ne banaane ka ikhtiyaar diya alam banaoonga barchi nahin banaoonga fareb de ke tira jism jeet luun lekin main ped kaat ke kashtii nahin banaoonga gali se koi bhi guzre to chaunk uthata hooñ naye makaan men khidki nahin banaoonga main dushmanon se agar jang jeet bhi jaaun to un ki auratein qaai dii nahin banaoonga tumhein pata to chale be-zabaan cheez ka dukh main ab charaaghh ki lau hi nahin banaoonga main ek film banaoonga apne sarwat par aur is men rail ki patri nahin banaoonga
Tehzeeb Hafi
92 likes
main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho
Shakeel Azmi
51 likes
More from Shakeel Jamali
log kahte hain ki is khel men sar jaate hain ishq men itnaa khasaara hai to ghar jaate hain maut ko ham ne kabhi kuchh nahin samjha magar aaj apne bacchon ki taraf dekh ke dar jaate hain zindagi aise bhi haalaat banaa deti hai log saanson ka kafan odh ke mar jaate hain paanv men ab koi zanjeer nahin daalte ham dil jidhar theek samajhta hai udhar jaate hain kya junoon-khez masafat thii tire kooche ki aur ab yuñ hai ki KHaamosh guzar jaate hain ye mohabbat ki alaamat to nahin hai koi teraa chehra nazar aata hai jidhar jaate hain
Shakeel Jamali
5 likes
koi bahaana koi kahaanii nahin chalegi mohabbaton men ghalat-bayaani nahin chalegi munaafiqon par vafaa ka tamgha nahin sajega KHaraab kapde pe kaamdaani nahin chalegi ha men ye duniya KHaraab samjhe ye uski marzi magar sabooton se chhedkhani nahin chalegi badon ke naksh-e-qadam pe bacche na chal sakenge puraani patri pe raajdhaani nahin chalegi agar vo apni zari ki saari pahan ke nikli to yaar logon pe sherwaani nahin chalegi vo mahfilein jo baghair ujrat ki khidmatein hain to kya vahaañ bhi ghazal puraani nahin chalegi bahut ziyaada bhi mutmain mat dikhaai dena bichhadte lamhon men shaadwaani nahin chalegi
Shakeel Jamali
10 likes
ulte seedhe sapne pale baithe hain sab paani men kaanta dale baithe hain ik beemaar vasiyat karne vaala hai rishte naate jeebh nikale baithe hain abhii na jaane kitna hansna rona hai abhii to hamse pahle waale baithe hain sahab-zaada pichhli raat se ghaayab hai ghar ke andar rishte waale baithe hain andar dori toot rahi hai saanson ki baahar beema karne waale baithe hain
Shakeel Jamali
9 likes
ashk peene ke li.e KHaak udaane ke li.e ab mire paas khazana hai lutaane ke li.e aisi daf'a na laga jis men zamaanat mil jaa.e mire kirdaar ko chun apne nishaane ke li.e kin zameenon pe utaaroge ab imdaad ka qahr kaun sa shahar ujaadoge basaane ke li.e main ne haathon se bujhaai hai dahakti hui aag apne bacche ke khilaune ko bachaane ke li.e ho gaii hai mirii ujadi hui duniya aabaad main use Dhoondh raha hooñ ye bataane ke li.e nafratein bechne waalon ki bhi majboori hai maal to chahiye dookaan chalaane ke li.e jee to kahtaa hai ki bistar se na utaroon kaii roz ghar men samaan to ho baith ke khaane ke li.e
Shakeel Jamali
3 likes
dil uski mohabbat men pareshaan to hogaa ab aag se kheloge to nuksaan to hogaa vaade pe na aaoge to taftish to hogii kaanoon ko todoge to chaalaan to hogaa hamne to use ek angoothi bhi nahin dii vo taaj-mahal dekh ke hairaan to hogaa
Shakeel Jamali
11 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shakeel Jamali.
Similar Moods
More moods that pair well with Shakeel Jamali's ghazal.







