dukh apna agar ham ko batana nahin aata tum ko bhi to andaza lagana nahin aata pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo ham tak kya baat hui kyuun vo zamana nahin aata main bhi use khone ka hunar siikh na paaya us ko bhi mujhe chhod ke jaana nahin aata is chhote zamane ke bade kaise banoge logon ko jab aapas men ladana nahin aata dhundhe hai to palkon pe chamakne ke bahane aansu ko miri aankh men aana nahin aata tarikh ki ankhon men dhuan ho gae khud hi tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata dukh apna agar hum ko batana nahin aata tum ko bhi to andaza lagana nahin aata pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo hum tak kya baat hui kyun wo zamana nahin aata main bhi use khone ka hunar sikh na paya us ko bhi mujhe chhod ke jaana nahin aata is chhote zamane ke bade kaise banoge logon ko jab aapas mein ladana nahin aata dhundhe hai to palkon pe chamakne ke bahane aansu ko meri aankh mein aana nahin aata tarikh ki aankhon mein dhuan ho gae khud hi tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
More from Waseem Barelvi
vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai
Waseem Barelvi
6 likes
andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai
Waseem Barelvi
10 likes
rang be-rang hon KHushboo ka bharosa jaa.e mirii aankhoñ se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaa.e main ne muddat se koi KHvaab nahin dekha hai haath rakh de mirii aankhoñ pe ki neend aa jaa.e main gunaahon ka taraf-daar nahin hooñ phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaa.e kuchh badi sochon men ye sochen bhi shaamil hain waseem kis bahaane se koi shahar jalaya jaa.e
Waseem Barelvi
1 likes
kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai mohabbaton men kab itnaa hisaab hota hai bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena udaas rahne se chehra KHaraab hota hai use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi jo haar jaa.e vahii kaamyaab hota hai jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahin hota to koi aaj ka izzat-maab hota hai jise main likhta hooñ aise ki KHud hi padh paanv kitaab-e-zeest men aisa bhi baab hota hai bahut bharosa na kar lena apni aankhoñ par dikhaai deta hai jo kuchh vo KHvaab hota hai
Waseem Barelvi
2 likes
apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
Waseem Barelvi
7 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







