ek qatra ashk ka chhalaka to dariyaa kar diya ek musht-e-khaak jo bikhri to sehra kar diya mere toote hausale ke par nikalte dekh karus ne deewaron ko apni aur ooncha kar diya waardaat-e-qalb likkhi ham ne farzi naam se aur haathon-haath us ko KHud hi le ja kar diya us ki naaraazi ka suraj jab sawaa neze pe tha apne harf-e-izz hi ne sar pe saaya kar diya duniya bhar ki KHaak koi chaanta firta hai ab aap ne dar se utha kar kaisa rusva kar diya ab na koi khauf dil men aur na aankhoñ men umeed tu ne marg-e-na-gahaan beemaar achha kar diya bhool ja ye kal tire naqsh-e-qadam the chaand par dekh un haathon ko kis ne aaj kaasa kar diya ham to kehne ja rahe the hamza-e-ye wassalaam beech men us ne achaanak noon-ghunna kar diya ham ko gaali ke li.e bhi lab hila sakte nahin gair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya teergii ki bhi koi had hoti hai aaKHir miyaan surkh parcham ko jala kar hi ujaala kar diya bazm men ahl-e-sukhan taqteea farmaate rahe aur ham ne apne dil ka bojh halka kar diya jaane kis ke muntazir baithe hain jhaadoo fer kar dil se har KHvaahish ko aadil ham ne chaltaa kar diya
Related Ghazal
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
More from Adil Mansuri
zameen chhod kar main kidhar jaaunga andheron ke andar utar jaaunga mirii pattiyaan saari sookhi hui naye mausamon men bikhar jaaunga agar aa gaya aaina saamne to apne hi chehre se dar jaaunga vo ik aankh jo mirii apni bhi haina aayi nazar to kidhar jaaunga vo ik shaKHs awaaz dega agar main khaali sadak par thehar jaaunga palat kar na paaya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaaunga tiri zaat men saans li hai sadaa tujhe chhod kar main kidhar jaaunga
Adil Mansuri
4 likes
chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko aur us ke saath hukm ki ab zindagi karo baahar gali men shor hai barsaat ka suno kun dii laga ke aaj to ghar men pade raho chhod aa.e kis ki chat pe jawaan-saal chaand ko KHaamosh kis li.e ho sitaaro javaab do kyun chalte chalte ruk ga.e veeraan raasto tanhaa hooñ aaj main zaraa ghar tak to saath do jis ne bhi mud ke dekha vo patthar ka ho gaya nazrein jhuk aa.e dosto chup chup chale chalo allah rakhe teri sehar jaisi kam-sini dil kaanpata hai jab bhi tu aati hai shaam ko veeraan chaman pe roee hai shabnam tamaam raat aise men koi nanhi kali muskur aa.e to aadil hawaaein kab se bhi deti hain dastaken jal dii se uth ke kamre ka darwaaza khol do
Adil Mansuri
0 likes
darwaaza band dekh ke mire makaan ka jhonka hawa ka khidki ke parde hila gaya vo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gaya pedon ne phool patton se rastaa chhupa liya us ke qareeb jaane ka anjaam ye hua main apne-aap se bhi bahut door ja pada angadaai le rahi thii gulistaan men jab bahaar har phool apne rang ki aatish men jal gaya kaañte se tootte hain mire ang ang men rag rag men chaand jalta hua zahar bhar gaya aankhoñ ne us ko dekha nahin is ke baawajood dil us ki yaad se kabhi ghaafil nahin raha darwaaza khatkhataa ke sitaare chale ga.e KHvaabon ki shaal odh ke main unghta raha shab chaandni ki aanch men tap kar nikhar gaii suraj ki jaltee aag men din KHaak ho gaya sadken tamaam dhoop se angaara ho gaiin andhi hawaaein chalti hain in par barhana-pa vo aa.e thodii der ruke aur chale ga.e aadil main sar jhuk aa.e hue chup khada raha
Adil Mansuri
0 likes
chehre pe chamchamaati hui dhoop mar gaii suraj ko dhalta dekh ke phir shaam dar gaii mabahoot se khade rahe sab bas ki line men koolhe uchaalti hui bijli guzar gaii suraj vahii tha dhoop vahii shahar bhi vahii kya cheez thii jo jism ke andar tithir gaii KHvaahish sukhaane rakkhi thii kothe pe dopahar ab shaam ho chali miyaan dekho kidhar gaii tahleel ho gaii hai hawa men udaasiyaan khaali jagah jo rah gaii tanhaaii bhar gaii chehre baghair niklaa tha us ke makaan se rusvaaiyon ki had se bhi aage khabar gaii rangon ki surkh naaf daakhilya gul-aftaab andhi hawaaein khaar khatk kaan bhar gaii
Adil Mansuri
0 likes
jeeta hai sirf tere li.e kaun mar ke dekh ik roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh manzil yahiin hai aam ke pedon ki chaanv men ai shehsawaar ghode se neeche utar ke dekh toote pade hain kitne ujaalon ke ustukhwaan saaya-numa andhere ke andar utar ke dekh phoolon ki tang-daamani ka tazkira na kar KHushboo ki tarah mauj-e-saba men bikhar ke dekh tujh par khulenge maut ki sarhad ke raaste himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh dariyaa ki wusaaton se use naapte nahin tanhaaii kitnii gahri hai ik jaam bhar ke dekh
Adil Mansuri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Adil Mansuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Adil Mansuri's ghazal.







