ghazalKuch Alfaaz

hamaara dil savere ka sunhara jaam ho jaa.e charaaghon ki tarah aañkhen jalen jab shaam ho jaa.e kabhi to aasmaañ se chaand utre jaam ho jaa.e tumhaare naam ki ik KHoob-soorat shaam ho jaa.e ajab haalaat the yuñ dil ka sauda ho gaya aaKHir mohabbat ki haveli jis tarah neelaam ho jaa.e samundar ke safar men is tarah awaaz de ham ko hawaaein tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaa.e mujhe maaloom hai us ka thikaana phir kahaan hogaa parinda aasmaañ choone men jab naakaam ho jaa.e ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne dona jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaa.e

Bashir Badr22 Likes

Related Ghazal

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara

Kushal Dauneria

67 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai

Tehzeeb Hafi

182 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

mirii nazar men KHaak tere aaine pe gard hai ye chaand kitna zard hai ye raat kitnii sard hai kabhi kabhi to yuñ laga ki ham sabhi masheen hain tamaam shahar men na koi zan na koi mard hai KHuda ki nazmon ki kitaab saari kaayenaat hai ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai hayaat aaj bhi kaneez hai huzoor-e-jabr men jo zindagi ko jeet le vo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayaat kah ke palkon par rakhoon agar mujhe yaqeen ho ye raaste ki gard hai vo jin ke zikr se ragon men daudti theen bijliyaan unhin ka haath ham ne choo ke dekha kitna sard hai

Bashir Badr

2 likes

khaandaani rishton men akshar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khoobsurat hai bahut apne college men bahut maghroor jo mashhoor hai dil mira kahtaa hai us ladki men chaahat hai bahut un ke chehre chaand taaron ki tarah raushan rahe jin ghareebon ke yahaañ husn-e-qanaat hai bahut ham se ho sakti nahin duniya ki duniya-daariyaan ishq ki deewaar ke saa.e men raahat hai bahut dhoop ki chadar mire suraj se kehna bhej de gurbaton ka daur hai jaadon ki shiddat hai bahut in andheron men jahaan sahmi hui thii ye zameen raat se tanhaa lada jugnoo men himmat hai bahut

Bashir Badr

2 likes

KHoon patton pe jama ho jaise phool ka rang haraa ho jaise baarha ye ha men mehsoos hua dard seene ka KHuda ho jaise yuñ taras kha ke na poochho ahvaal teer seene pe laga ho jaise phool ki aankh men shabnam kyun hai sab hamaari hi KHataa ho jaise kirchen chubhti hain bahut seene men aaina toot gaya ho jaise sab ha men dekhne aate hain magar neend aankhoñ se KHafaa ho jaise ab charaaghon ki zaroorat bhi nahin chaand is dil men chhupa ho jaise

Bashir Badr

1 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.