ghazalKuch Alfaaz

hamare khuun ke pyase pashemani se mar jaaen agar ham ek din apni hi nadani se mar jaaen aziyyat se janam leti suhulat raas aati hai koi aisi pade mushkil ki asani se mar jaaen adhuri si nazar kaafi hai us aina-dari par agar ham ghhaur se dekhen to hairani se mar jaaen bana rakkhi hain divaron pe tasviren parindon ki vagarna ham to apne ghar ki virani se mar jaaen agar vahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai sukun se jiite jiite bhi pareshani se mar jaaen kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid tiri jannat men ashya ki faravani se mar jaaen hamare khun ke pyase pashemani se mar jaen agar hum ek din apni hi nadani se mar jaen aziyyat se janam leti suhulat ras aati hai koi aisi pade mushkil ki aasani se mar jaen adhuri si nazar kafi hai us aaina-dari par agar hum ghaur se dekhen to hairani se mar jaen bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen agar wahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai sukun se jite jite bhi pareshani se mar jaen kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid teri jannat mein ashya ki farawani se mar jaen

Related Ghazal

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

More from Afzal Khan

mujhe rona nahin awaaz bhi bhari nahin karne mohabbat ki kahaanii men adaakaari nahin karne hawa ke khauf se lipta hua hooñ khushk tahni se kahii jaana nahin jaane ki tayyaari nahin karne tahammul ai mohabbat hijr pathreela ilaqa hai tujhe is raaste par tez-raftaari nahin karne hamaara dil zaraa ukta gaya tha ghar men rah rah kar yoonhi bazaar aa.e hain khareedaari nahin karne ghazal ko kam-nigaahon ki pahunch se door rakhta hooñ mujhe banjar dimaagon men shjar-kaari nahin karne wasiyyat ki thii mujh ko qais ne sehra ke baare men ye meraa ghar hai is ki chaar-deewaari nahin karne

Afzal Khan

0 likes

tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota

Afzal Khan

0 likes

vo jo ik shaKHs vahaañ hai vo yahaañ kaise ho hijr par vasl ki haalat ka gumaan kaise ho be-numoo KHvaab men paivast jaden hain meri ek gamle men koi nakhl jawaan kaise ho tum to alfaaz ke nashtar se bhi mar jaate the ab jo haalaat hain ai ahl-e-zabaan kaise ho aankh ke pahle kinaare pe khada aakhiri ashk ranj ke rahm-o-karam par hai ravaan kaise ho bhaav-taav men kamii beshee nahin ho sakti haan magar tujh se khareedaar ko naan kaise ho milte rahte hain mujhe aaj bhi ghalib ke khutoot vahii andaaz-e-takhaatub ki miyaan kaise ho

Afzal Khan

0 likes

tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota

Afzal Khan

0 likes

vo jo ik shaKHs vahaañ hai vo yahaañ kaise ho hijr par vasl ki haalat ka gumaan kaise ho be-numoo KHvaab men paivast jaden hain meri ek gamle men koi nakhl jawaan kaise ho tum to alfaaz ke nashtar se bhi mar jaate the ab jo haalaat hain ai ahl-e-zabaan kaise ho aankh ke pahle kinaare pe khada aakhiri ashk ranj ke rahm-o-karam par hai ravaan kaise ho bhaav-taav men kamii beshee nahin ho sakti haan magar tujh se khareedaar ko naan kaise ho milte rahte hain mujhe aaj bhi ghalib ke khutoot vahii andaaz-e-takhaatub ki miyaan kaise ho

Afzal Khan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Afzal Khan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Afzal Khan's ghazal.