ghazalKuch Alfaaz

har-chand ghham-o-dard ki qimat bhi bahut thi lena hi pada dil ko zarurat bhi bahut thi zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi majbur the ham us se mohabbat bhi bahut thi go tark-e-taalluq men suhulat bhi bahut thi lekin na hua ham se ki ghhairat bhi bahut thi us but ke sitam sah ke dikha hi diya ham ne go apni tabiat men baghhavat bhi bahut thi vaqif hi na tha ramz-e-mohabbat se vo varna dil ke liye thodi si inayat hi bahut thi yuun hi nahin mashhur-e-zamana mira qatil us shakhs ko is fan men maharat bhi bahut thi kya daur-e-ghhazal tha ki lahu dil men bahut tha aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi har shaam sunate the hasinon ko ghhazal ham jab maal bahut tha to sakhavat bhi bahut thi bulva ke ham 'ajiz' ko pasheman bhi bahut hain kya kijiye kam-bakht ki shohrat bhi bahut thi har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi lena hi pada dil ko zarurat bhi bahut thi zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi go tark-e-talluq mein suhulat bhi bahut thi lekin na hua hum se ki ghairat bhi bahut thi us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne go apni tabiat mein baghawat bhi bahut thi waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se wo warna dil ke liye thodi si inayat hi bahut thi yun hi nahin mashhur-e-zamana mera qatil us shakhs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil mein bahut tha aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi har sham sunate the hasinon ko ghazal hum jab mal bahut tha to sakhawat bhi bahut thi bulwa ke hum 'ajiz' ko pasheman bhi bahut hain kya kijiye kam-bakht ki shohrat bhi bahut thi

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Kaleem Aajiz

dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka utha nahin hai abhii e'tibaar naalon ka ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka na aayen ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf yahaañ guzar nahin daaman bachaane waalon ka lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se bade ghazab ka kaleja tha marne waalon ka

Kaleem Aajiz

0 likes

shaane ka bahut khoon-e-jigar jaa.e hai pyaare tab zulf kahii taa-b-kamar jaa.e hai pyaare jis din koi gham mujh pe guzar jaa.e hai pyaare chehra tira us roz nikhar jaa.e hai pyaare ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa men tu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare rahne de jafaon ki kaddi dhoop men mujh ko saa.e men to har shaKHs thehar jaa.e hai pyaare vo baat zaraa si jise kahte hain gham-e-dil samjhaane men ik umr guzar jaa.e hai pyaare har-chand koi naam nahin meri ghazal men teri hi taraf sab ki nazar jaa.e pyaare

Kaleem Aajiz

0 likes

meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche mere paas kya vo aate meraa dard kya mitaate meraa haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche teri berukhi pe zalim meraa jee ye chahta hai ki vafaa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon vo sadaa hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche vo sanam bigad ke mujh se meraa kya bigaad lega kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin jo gareeb tishna-lab the vahii jaam tak na pahunche jise maine jagmagaya usii anjuman men saaqi meraa zikr tak na aa.e meraa naam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna main nahin hoondoor itnaa ki salaam tak na pahunche

Kaleem Aajiz

1 likes

mujhe is ka koi gilaa nahin ki bahaar ne mujhe kya diya tiri aarzoo to nikaal dii tira hausla to badha diya go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed banaa diya ye mirii vafaa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai jahaan raushni ki kamii mili wahin ik charaaghh jala diya tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aa.e to kya karoon tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya mirii shaay'ri men tire siva koi maajra hai na muddaa jo tiri nazar ka fasana tha vo mirii ghazal ne suna diya ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman ye KHaraab jis ke li.e hua usii bevafaa ne bhula diya

Kaleem Aajiz

0 likes

mirii shaayeri men na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa vahii dukh-bharon ki hikaayaten vahii dil-jalon ki kahaaniyaan ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi be-vafa ki nishaaniyaan yahii mire din ke rafeeq hain yahii mirii raat ki raaniyaan ye mirii zabaan pe ghazal nahin main suna raha hooñ kahaaniyaan ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan k abhii aañsuon ko sukha gaiin mire soz-e-dil ki haraaratein k abhii dil ki naav dubo gaiin mire aañsuon ki ravaaniyaan abhii us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan abhii maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mira nichoda hua lahu abhii sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan

Kaleem Aajiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaleem Aajiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaleem Aajiz's ghazal.