ik baar phir vatan men gaya ja ke aa gaya lakht-e-jigar ko khaak men dafna ke aa gaya har ham-safar pe khizr ka dhoka hua mujhe ab-e-baqa ki raah se katra ke aa gaya hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya dil le gaya mujhe tiri turbat pe baar baar avaz de ke baith ke ukta ke aa gaya roya ki tha jahez tira vajib-ul-ada menh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost tinka sa ek samne dariya ke aa gaya ab ke bhi raas aai na hubb-e-vatan 'hafiz' ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya lakht-e-jigar ko khak mein dafna ke aa gaya har ham-safar pe khizr ka dhoka hua mujhe aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya dil le gaya mujhe teri turbat pe bar bar aawaz de ke baith ke ukta ke aa gaya roya ki tha jahez tera wajib-ul-ada meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost tinka sa ek samne dariya ke aa gaya ab ke bhi ras aai na hubb-e-watan 'hafiz' ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
More from Hafeez Jalandhari
aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge
Hafeez Jalandhari
1 likes
mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main
Hafeez Jalandhari
0 likes
ye mulaqaat mulaqaat nahin hoti hai baat hoti hai magar baat nahin hoti hai baaryaabi ka bura ho ki ab un ke dar par agle waqton ki mudaarat nahin hoti hai gham to ghanghor ghataon ki tarah uthte hain zabt ka dasht hai barsaat nahin hoti hai ye mira tajurba hai husn koi chaal chale baazi-e-ishq kabhi maat nahin hoti hai vasl hai naam ham-aahangi o yak-rangi ka vasl men koi burii baat nahin hoti hai hijr tanhaai hai suraj hai sawaa neze par din hi rehta hai yahaañ raat nahin hoti hai zabt-e-girya kabhi karta hooñ to farmaate hain aaj kya baat hai barsaat nahin hoti hai mujhe allah ki qasam she'r men tahseen-e-butaan main jo karta hooñ meri zaat nahin hoti hai fikr-e-takhleeq-e-sukhan masnad-e-raahat pe hafiz bais-e-kashf-o-karaamaat nahin hoti hai
Hafeez Jalandhari
0 likes
ham hi men thii na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne ha men bhula diya ham na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zabaan khulegi phir ham na agar suna sake hosh men aa chuke the ham josh men aa chuke the ham bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikaayaten raheen dil men shikaayaten raheen lab na magar hila sake shauq-e-visaal hai yahaañ lab pe sawaal hai yahaañ kis ki majaal hai yahaañ ham se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kaan dhar sake sun ke yaqeen kar sake ja ke unhen suna sake izz se aur badh gaii barhamee-e-mizaaj-e-dost ab vo kare ilaaj-e-dost jis ki samajh men aa sake ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun tiri tarah hafiz dard ke geet ga sake
Hafeez Jalandhari
0 likes
mujhe shaad rakhna ki naashaad rakhna mire deeda o dil ko aabaad rakhna bhulaai nahin ja sakengi ye baatein tumhein yaad aayenge ham yaad rakhna vo naashaad o barbaad rakhte hain mujh ko ilaahi unhen shaad o aabaad rakhna tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de usii ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna milenge tumhein raah men but-kade bhi zaraa apne allah ko yaad rakhna jahaan bhi nashe men qadam larkhadaayein wahin ek masjid ki buniyaad rakhna sitaaron pe chalte hue ibn-e-aadam nazar men farishton ki uftaad rakhna hafiz apne afkaar ki saadgi ko takalluf ki uljhan se azaad rakhna
Hafeez Jalandhari
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.







