ghazalKuch Alfaaz

ik din KHud ko apne paas bithaaya ham ne pahle yaar banaya phir samjhaaya ham ne KHud bhi aakhir-kaar unhi va'don se bahle jin se saari duniya ko bahlāya ham ne bheed ne yoonhi rahbar maan liya hai warna apne alaava kis ko ghar pahunchaaya ham ne maut ne saari raat hamaari nabz tatoli aisa marne ka maahol banaya ham ne ghar se nikle chauk ga.e phir park men baithe tanhaaii ko jagah jagah bikhrāya ham ne in lamhon men kis ki shirkat kaisi shirkat use bula kar apna kaam badhaaya ham ne duniya ke kacche rangon ka rona roya phir duniya par apna rang jamaaya ham ne jab shariq pahchaan ga.e manzil ki haqeeqat phir raaste ko raaste bhar uljhaaya ham ne

Shariq Kaifi22 Likes

Related Ghazal

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

More from Shariq Kaifi

log sah lete the hañs kar kabhi be-zaari bhi ab to mashkook hui apni milan-saari bhi vaar kuchh khaali ga.e mere to phir aa hi gaii apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe vaqt kam ho to saja deti hai beemaarii bhi kis tarah aa.e hain is pahli mulaqaat talak aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi oob jaata hooñ zehaanat ki numaish se to phir lutf deta hai ye lahjaa mujhe baazaari bhi umr badhti hai magar ham wahin thehre hue hain thokren khaaiin to kuchh aa.e samajhdari bhi ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi

Shariq Kaifi

3 likes

guzar raha hai vo lamha to yaad aaya haius ek pal se kabhi kitna khauf khaaya hai usii nigaah ne aankhoñ ko kar diya patthar usii nigaah men sab kuchh nazar bhi aaya hai ye tanj yuñ bhi hai ik imtihaan mere li.e tire labon se koi aur muskuraya hai bahe raqeeb ke aañsu bhi mere gaalon par ye saanehaa bhi mohabbat men pesh aaya hai ye koi aur hai teri taraf sarkata hua andhera hote hi jo mujh men aa samaaya hai hamaare ishq se mar'oub is qadar bhi na ho ye khun to ek adakaar ne bahaaya hai yahaañ to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin vo kya dikhaane mujhe itni door laaya hai bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin ye dukh kisi ne hamaare li.e uthaya hai

Shariq Kaifi

4 likes

kam se kam duniya se itnaa miraa rishta ho jaa.e koi miraa bhi bura chaahne vaala ho jaa.e isee majboori men ye bheed ikattha hai yahaañ jo tire saath nahin aa.e vo tanhaa ho jaa.e shukr us ka ada karne ka khayal aa.e kise abr jab itnaa ghana ho ki andhera ho jaa.e haan nahin chahiye us darja mohabbat teri ki miraa sach bhi tire jhooth ka hissa ho jaa.e band aankhoñ ne saraabo se bachaaya hai mujhe aankh vaala ho to is khel men andha ho jaa.e main bhi qatra hooñ tiri baat samajh saka hooñ ye ki mit jaane ke dar se koi dariyaa ho jaa.e bas isee baat pe aainon se bigdi meri chahta tha miraa apna koi chehra ho jaa.e bazm-e-yaaraan men yahii rang to dete hain mazaa koi roye to hañsi se koi dohraa ho jaa.e

Shariq Kaifi

0 likes

kuchh qadam aur mujhe jism ko dhona hai yahaañ saath laaya hooñ usii ko jise khona hai yahaañ bheed chhat jaayegi pal men ye khabar udte hi ab koi aur tamasha nahin hona hai yahaañ ye bhanwar kaun sa moti mujhe de saka hai baat ye hai ki mujhe KHud ko dubona hai yahaañ kya mila dasht men aa kar tire deewane ko ghar ke jaisa hi agar jaagna sona hai yahaañ kuchh bhi ho jaa.e na maanoonga magar jism ki baat aaj mujrim to kisi aur ko hona hai yahaañ yuñ bhi darkaar hai mujh ko kisi beenaai ka lams ab kisi aur ka hona mira hona hai yahaañ ashk palkon pe saja luun main abhii se shariq shab hai baaki to tira zikr bhi hona hai yahaañ

Shariq Kaifi

1 likes

siyaane the magar itne nahin ham KHamoshii ki zabaan samjhe nahin ham ana ki baat ab sunna padegi vo kya sochega jo roothe nahin ham adhuri lag rahi hai jeet us ko use haare hue lagte nahin ham ha men to rok lo uthne se pahle palat kar dekhne waale nahin ham bichhadne ka tire sadma to hogaa magar is khauf ko jeete nahin ham tire rahte to kya hote kisi ke tujhe kho kar bhi duniya ke nahin ham ye manzil KHvaab hi rahtii hamesha agar ghar laut kar aate nahin ham k abhii soche to is pahluu se koi kisi ki baat kyun sunte nahin ham abhii tak mashwaron par jee rahe hain kisi soorat bade hote nahin ham

Shariq Kaifi

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shariq Kaifi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shariq Kaifi's ghazal.