ghazalKuch Alfaaz

kuchh qadam aur mujhe jism ko dhona hai yahaañ saath laaya hooñ usii ko jise khona hai yahaañ bheed chhat jaayegi pal men ye khabar udte hi ab koi aur tamasha nahin hona hai yahaañ ye bhanwar kaun sa moti mujhe de saka hai baat ye hai ki mujhe KHud ko dubona hai yahaañ kya mila dasht men aa kar tire deewane ko ghar ke jaisa hi agar jaagna sona hai yahaañ kuchh bhi ho jaa.e na maanoonga magar jism ki baat aaj mujrim to kisi aur ko hona hai yahaañ yuñ bhi darkaar hai mujh ko kisi beenaai ka lams ab kisi aur ka hona mira hona hai yahaañ ashk palkon pe saja luun main abhii se shariq shab hai baaki to tira zikr bhi hona hai yahaañ

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Shariq Kaifi

log sah lete the hañs kar kabhi be-zaari bhi ab to mashkook hui apni milan-saari bhi vaar kuchh khaali ga.e mere to phir aa hi gaii apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe vaqt kam ho to saja deti hai beemaarii bhi kis tarah aa.e hain is pahli mulaqaat talak aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi oob jaata hooñ zehaanat ki numaish se to phir lutf deta hai ye lahjaa mujhe baazaari bhi umr badhti hai magar ham wahin thehre hue hain thokren khaaiin to kuchh aa.e samajhdari bhi ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi

Shariq Kaifi

3 likes

soona aangan neend men aise chaunk utha hai sote men bhi jaise koi sisaki leta hai ghar men to is maahol ka main aadi hooñ lekin bazaaron ki veeraani se dam ghutta hai muddat se main soch raha tha ab samjha hooñ jeb aur aankh ke khaali-pan men kya rishta hai itne log mujhe ruksat karne aa.e hain ghar waapas jaana bhi tamasha sa lagta hai log to apni jaanib se kuchh jod hi lenge itni adhuri baatein hain vo kyun karta hai apni kya in raston ke baare men sochun un ka safar to meri umr se bhi lamba hai us ki aankhoñ se ojhal mat hona shariq peecha karne vaala bahut tanhaa hota hai

Shariq Kaifi

5 likes

KHvaab vaise to ik inaayat hai aankh khul jaa.e to museebat hai jism aaya kisi ke hisse men dil kisi aur ki amaanat hai jaan dene ka vaqt aa hi gaya is tamaashe ke baa'd furqat hai umr bhar jis ke mashwaron pe chale vo pareshaan hai to hairat hai ab sanwarne ka vaqt us ko nahin jab ha men dekhne ki furqat hai us pe utne hi rang khulte hain jis ki aankhoñ men jitni hairat hai

Shariq Kaifi

1 likes

khayal sa hai ki tu saamne khada tha abhii ghunoodgi men hooñ shaayad main sau gaya tha abhii phir us ki shakl khayaalon men saaf banne lagii ye mas’ala to vahii hai jo hal hua tha abhii suna hai phir koi mujh ko bachaana chahta hai kisi tarah to mira faisla hua tha abhii yahiin khada tha vo aankhoñ men kitne KHvaab li.e main us ko us ka naya ghar dikha raha tha abhii usii ke baare men socha to kuchh na tha ma’aloom usii ke baare men itnaa kaha suna tha abhii

Shariq Kaifi

4 likes

saamne tere hooñ ghabraaya hua be-zabaan hone par sharmaaya hua laakh ab manzar ho dhundlaaya hua yaad hai mujh ko nazar aaya hua ye bhi kehna tha bataa kar raasta main vahii hooñ teraa bhatkaaya hua main ki ik aaseb ik be-chain rooh be-wuzoo haathon ka dafnaaya hua aa gaya phir mashwara dene mujhe khema-e-dushman ka samjhaaya hua phir vo manzil lutf kya deti mujhe main vahaañ pahuncha tha jhunjhlaaya hua teri galiyon se guzar aasaan nahin aaj bhi chaltaa hooñ ghabraaya hua kuchh naya karne ka phir matlab hi kya jab tamaashaai hai uktaaya hua kam se kam is ka to rakhta vo lihaaz main hooñ ik awaaz par aaya hua mujh ko aasaani se pa saka hai kaun main hooñ tere dar ka thukraaya hua

Shariq Kaifi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shariq Kaifi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shariq Kaifi's ghazal.