ghazalKuch Alfaaz

khayal sa hai ki tu saamne khada tha abhii ghunoodgi men hooñ shaayad main sau gaya tha abhii phir us ki shakl khayaalon men saaf banne lagii ye mas’ala to vahii hai jo hal hua tha abhii suna hai phir koi mujh ko bachaana chahta hai kisi tarah to mira faisla hua tha abhii yahiin khada tha vo aankhoñ men kitne KHvaab li.e main us ko us ka naya ghar dikha raha tha abhii usii ke baare men socha to kuchh na tha ma’aloom usii ke baare men itnaa kaha suna tha abhii

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Shariq Kaifi

KHvaab vaise to ik inaayat hai aankh khul jaa.e to museebat hai jism aaya kisi ke hisse men dil kisi aur ki amaanat hai jaan dene ka vaqt aa hi gaya is tamaashe ke baa'd furqat hai umr bhar jis ke mashwaron pe chale vo pareshaan hai to hairat hai ab sanwarne ka vaqt us ko nahin jab ha men dekhne ki furqat hai us pe utne hi rang khulte hain jis ki aankhoñ men jitni hairat hai

Shariq Kaifi

1 likes

guzar raha hai vo lamha to yaad aaya haius ek pal se kabhi kitna khauf khaaya hai usii nigaah ne aankhoñ ko kar diya patthar usii nigaah men sab kuchh nazar bhi aaya hai ye tanj yuñ bhi hai ik imtihaan mere li.e tire labon se koi aur muskuraya hai bahe raqeeb ke aañsu bhi mere gaalon par ye saanehaa bhi mohabbat men pesh aaya hai ye koi aur hai teri taraf sarkata hua andhera hote hi jo mujh men aa samaaya hai hamaare ishq se mar'oub is qadar bhi na ho ye khun to ek adakaar ne bahaaya hai yahaañ to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin vo kya dikhaane mujhe itni door laaya hai bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin ye dukh kisi ne hamaare li.e uthaya hai

Shariq Kaifi

4 likes

log sah lete the hañs kar kabhi be-zaari bhi ab to mashkook hui apni milan-saari bhi vaar kuchh khaali ga.e mere to phir aa hi gaii apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe vaqt kam ho to saja deti hai beemaarii bhi kis tarah aa.e hain is pahli mulaqaat talak aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi oob jaata hooñ zehaanat ki numaish se to phir lutf deta hai ye lahjaa mujhe baazaari bhi umr badhti hai magar ham wahin thehre hue hain thokren khaaiin to kuchh aa.e samajhdari bhi ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi

Shariq Kaifi

3 likes

tan se jab tak saans ka rishta rahega mere ashkon men tira hissa rahega door tak koi shanaasa ho nahin ho bheed men achha magar lagta rahega aise chhutkaara nahin dena hai us ko main agar mar jaaun to kaisa rahega tay to hai alagaav bas ye sochna hai kaun si rut men ye dukh achha rahega KHud se meri sulh mumkin hi nahin hai jab talak is ghar men aaina rahega yuñ to ab bistar hai aur beemaar lekin saans lene men mazaa aata rahega main ne kitne din kisi ko yaad rakha vo bhi kyun mere li.e rota rahega

Shariq Kaifi

5 likes

tiri taraf se to haan maan kar hi chalna hai ki saara khel is ummeed par hi chalna hai qadam thehar hi ga.e hain tiri gali men to phir yahaañ se koi dua maang kar hi chalna hai rahe ho saath to kuchh vaqt aur de do ha men yahaañ se laut ke bas ab to ghar hi chalna hai mukhaalifat pe hawaon ki kyuuñ pareshaan hon tumhaari samt agar umr bhar hi chalna hai koi umeed nahin khidkiyon ko band karo ki ab to dast-e-bala ka safar hi chalna hai zaraa sa qurb muyassar to aa.e us ka mujhe ki us ke baad zabaan ka hunar hi chalta hai

Shariq Kaifi

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shariq Kaifi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shariq Kaifi's ghazal.