log sah lete the hañs kar kabhi be-zaari bhi ab to mashkook hui apni milan-saari bhi vaar kuchh khaali ga.e mere to phir aa hi gaii apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe vaqt kam ho to saja deti hai beemaarii bhi kis tarah aa.e hain is pahli mulaqaat talak aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi oob jaata hooñ zehaanat ki numaish se to phir lutf deta hai ye lahjaa mujhe baazaari bhi umr badhti hai magar ham wahin thehre hue hain thokren khaaiin to kuchh aa.e samajhdari bhi ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
Umair Najmi
59 likes
More from Shariq Kaifi
guzar raha hai vo lamha to yaad aaya haius ek pal se kabhi kitna khauf khaaya hai usii nigaah ne aankhoñ ko kar diya patthar usii nigaah men sab kuchh nazar bhi aaya hai ye tanj yuñ bhi hai ik imtihaan mere li.e tire labon se koi aur muskuraya hai bahe raqeeb ke aañsu bhi mere gaalon par ye saanehaa bhi mohabbat men pesh aaya hai ye koi aur hai teri taraf sarkata hua andhera hote hi jo mujh men aa samaaya hai hamaare ishq se mar'oub is qadar bhi na ho ye khun to ek adakaar ne bahaaya hai yahaañ to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin vo kya dikhaane mujhe itni door laaya hai bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin ye dukh kisi ne hamaare li.e uthaya hai
Shariq Kaifi
4 likes
kam se kam duniya se itnaa miraa rishta ho jaa.e koi miraa bhi bura chaahne vaala ho jaa.e isee majboori men ye bheed ikattha hai yahaañ jo tire saath nahin aa.e vo tanhaa ho jaa.e shukr us ka ada karne ka khayal aa.e kise abr jab itnaa ghana ho ki andhera ho jaa.e haan nahin chahiye us darja mohabbat teri ki miraa sach bhi tire jhooth ka hissa ho jaa.e band aankhoñ ne saraabo se bachaaya hai mujhe aankh vaala ho to is khel men andha ho jaa.e main bhi qatra hooñ tiri baat samajh saka hooñ ye ki mit jaane ke dar se koi dariyaa ho jaa.e bas isee baat pe aainon se bigdi meri chahta tha miraa apna koi chehra ho jaa.e bazm-e-yaaraan men yahii rang to dete hain mazaa koi roye to hañsi se koi dohraa ho jaa.e
Shariq Kaifi
0 likes
kuchh qadam aur mujhe jism ko dhona hai yahaañ saath laaya hooñ usii ko jise khona hai yahaañ bheed chhat jaayegi pal men ye khabar udte hi ab koi aur tamasha nahin hona hai yahaañ ye bhanwar kaun sa moti mujhe de saka hai baat ye hai ki mujhe KHud ko dubona hai yahaañ kya mila dasht men aa kar tire deewane ko ghar ke jaisa hi agar jaagna sona hai yahaañ kuchh bhi ho jaa.e na maanoonga magar jism ki baat aaj mujrim to kisi aur ko hona hai yahaañ yuñ bhi darkaar hai mujh ko kisi beenaai ka lams ab kisi aur ka hona mira hona hai yahaañ ashk palkon pe saja luun main abhii se shariq shab hai baaki to tira zikr bhi hona hai yahaañ
Shariq Kaifi
1 likes
intiha tak baat le jaata hooñ main ab use aise hi samjhaata hooñ main kuchh hawa kuchh dil dhadkane ki sadaa shor men kuchh sun nahin paata hooñ main bin kahe aaunga jab bhi aaunga muntazir aankhoñ se ghabraata hooñ main yaad aati hai tiri sanjeedgi aur phir hansta chala jaata hooñ main fasla rakh ke bhi kya haasil hua aaj bhi us ka hi kahlaata hooñ main chhup raha hooñ aaine ki aankh se thoda thoda roz dhundlaataa hooñ main apni saari shaan kho deta hai zakham jab davaa karta nazar aata hooñ main sach to ye hai mustard kar ke use ik tarah se KHud ko jhutlaata hooñ main aaj us par bhi bhatkna pad gaya roz jis raaste se ghar aata hooñ main
Shariq Kaifi
3 likes
soona aangan neend men aise chaunk utha hai sote men bhi jaise koi sisaki leta hai ghar men to is maahol ka main aadi hooñ lekin bazaaron ki veeraani se dam ghutta hai muddat se main soch raha tha ab samjha hooñ jeb aur aankh ke khaali-pan men kya rishta hai itne log mujhe ruksat karne aa.e hain ghar waapas jaana bhi tamasha sa lagta hai log to apni jaanib se kuchh jod hi lenge itni adhuri baatein hain vo kyun karta hai apni kya in raston ke baare men sochun un ka safar to meri umr se bhi lamba hai us ki aankhoñ se ojhal mat hona shariq peecha karne vaala bahut tanhaa hota hai
Shariq Kaifi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shariq Kaifi.
Similar Moods
More moods that pair well with Shariq Kaifi's ghazal.







