ghazalKuch Alfaaz

intiha tak baat le jaata hooñ main ab use aise hi samjhaata hooñ main kuchh hawa kuchh dil dhadkane ki sadaa shor men kuchh sun nahin paata hooñ main bin kahe aaunga jab bhi aaunga muntazir aankhoñ se ghabraata hooñ main yaad aati hai tiri sanjeedgi aur phir hansta chala jaata hooñ main fasla rakh ke bhi kya haasil hua aaj bhi us ka hi kahlaata hooñ main chhup raha hooñ aaine ki aankh se thoda thoda roz dhundlaataa hooñ main apni saari shaan kho deta hai zakham jab davaa karta nazar aata hooñ main sach to ye hai mustard kar ke use ik tarah se KHud ko jhutlaata hooñ main aaj us par bhi bhatkna pad gaya roz jis raaste se ghar aata hooñ main

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Shariq Kaifi

log sah lete the hañs kar kabhi be-zaari bhi ab to mashkook hui apni milan-saari bhi vaar kuchh khaali ga.e mere to phir aa hi gaii apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe vaqt kam ho to saja deti hai beemaarii bhi kis tarah aa.e hain is pahli mulaqaat talak aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi oob jaata hooñ zehaanat ki numaish se to phir lutf deta hai ye lahjaa mujhe baazaari bhi umr badhti hai magar ham wahin thehre hue hain thokren khaaiin to kuchh aa.e samajhdari bhi ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi

Shariq Kaifi

3 likes

soona aangan neend men aise chaunk utha hai sote men bhi jaise koi sisaki leta hai ghar men to is maahol ka main aadi hooñ lekin bazaaron ki veeraani se dam ghutta hai muddat se main soch raha tha ab samjha hooñ jeb aur aankh ke khaali-pan men kya rishta hai itne log mujhe ruksat karne aa.e hain ghar waapas jaana bhi tamasha sa lagta hai log to apni jaanib se kuchh jod hi lenge itni adhuri baatein hain vo kyun karta hai apni kya in raston ke baare men sochun un ka safar to meri umr se bhi lamba hai us ki aankhoñ se ojhal mat hona shariq peecha karne vaala bahut tanhaa hota hai

Shariq Kaifi

5 likes

badaa hai dukh so haasil hai ye aasaani mujhe ki himmat hi nahin kuchh yaad karne ki mujhe chala aata hai chupke se razaai men mirii burii lagti hai suraj ki ye bebaki mujhe chhupata phir raha hooñ KHud ko main kis se yahaañ agar pehchaanne vaala nahin koi mujhe guzar jaayegi saari zindagi ummeed meinna jeene degi ye jeene ki tayyaari mujhe agar kam bolta hooñ main to kyun bechain ho tumheen se to lagii hai chup ki beemaarii mujhe achaanak kuchh hua hota to koi baat thina jaane kyun hui is darja hairaani mujhe

Shariq Kaifi

2 likes

guzar raha hai vo lamha to yaad aaya haius ek pal se kabhi kitna khauf khaaya hai usii nigaah ne aankhoñ ko kar diya patthar usii nigaah men sab kuchh nazar bhi aaya hai ye tanj yuñ bhi hai ik imtihaan mere li.e tire labon se koi aur muskuraya hai bahe raqeeb ke aañsu bhi mere gaalon par ye saanehaa bhi mohabbat men pesh aaya hai ye koi aur hai teri taraf sarkata hua andhera hote hi jo mujh men aa samaaya hai hamaare ishq se mar'oub is qadar bhi na ho ye khun to ek adakaar ne bahaaya hai yahaañ to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin vo kya dikhaane mujhe itni door laaya hai bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin ye dukh kisi ne hamaare li.e uthaya hai

Shariq Kaifi

4 likes

ye chupke chupke na thamne waali hañsi to dekho vo saath hai to zaraa hamaari khushi to dekho bahut haseen raat hai magar tum to so rahe ho nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho jagah jagah seel ke ye dhabbe ye sard bistar hamaare kamre se dhoop ki be-rukhi to dekho damak raha hooñ abhii talak us ke dhyaan se main bujhe hue ik khayal ki raushni to dekho ye aakhiri vaqt aur ye be-hisi jahaan ki are mira sard haath choo kar koi to dekho abhii bahut rang hain jo tum ne nahin chhue hain k abhii yahaañ aa ke gaav ki zindagi to dekho

Shariq Kaifi

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shariq Kaifi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shariq Kaifi's ghazal.