ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai simte to dil-e-ashiq phaile to zamana hai ye kis ka tasavvur hai ye kis ka fasana hai jo ashk hai ankhon men tasbih ka daana hai dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai dil phir bhi mira dil hai dil hi to zamana hai ham ishq ke maron ka itna hi fasana hai rone ko nahin koi hansne ko zamana hai vo aur vafa-dushman manenge na maana hai sab dil ki shararat hai ankhon ka bahana hai shair huun main shair huun mera hi zamana hai fitrat mira aina qudrat mira shana hai jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi musibat hai apna hi fasana hai kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai ham khak-nashinon ki thokar men zamana hai aghhaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai ankhon men nami si hai chup chup se vo baithe hain nazuk si nigahon men nazuk sa fasana hai ham dard-ba-dil nalan vo dast-ba-dil hairan ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai ya vo the khafa ham se ya ham hain khafa un se kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai ai ishq-e-junun-pesha haan ishq-e-junun-pesha aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai thodi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai ye ishq nahin asan itna hi samajh liije ik aag ka dariya hai aur duub ke jaana hai khud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna jab dekhiye ab vo hain aina hai shana hai tasvir ke do rukh hain jaan aur ghham-e-janan ik naqsh chhupana hai ik naqsh dikhana hai ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna jiine ki tamanna hai marne ka zamana hai mujh ko isi dhun men hai har lahza basar karna ab aae vo ab aae lazim unhen aana hai khuddari-o-mahrumi mahrumi-o-khuddari ab dil ko khuda rakkhe ab dil ka zamana hai ashkon ke tabassum men aahon ke tarannum men maasum mohabbat ka maasum fasana hai aansu to bahut se hain ankhon men 'jigar' lekin bandh jaae so moti hai rah jaae so daana hai ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai simte to dil-e-ashiq phaile to zamana hai ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasana hai jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai dil phir bhi mera dil hai dil hi to zamana hai hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai rone ko nahin koi hansne ko zamana hai wo aur wafa-dushman manenge na mana hai sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai shair hun main shair hun mera hi zamana hai fitrat mera aaina qudrat mera shana hai jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi musibat hai apna hi fasana hai kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai hum khak-nashinon ki thokar mein zamana hai aaghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai aankhon mein nami si hai chup chup se wo baithe hain nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai hum dard-ba-dil nalan wo dast-ba-dil hairan ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai ya wo the khafa hum se ya hum hain khafa un se kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai ai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai thodi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije ek aag ka dariya hai aur dub ke jaana hai khud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna jab dekhiye ab wo hain aaina hai shana hai taswir ke do rukh hain jaan aur gham-e-jaanan ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna jine ki tamanna hai marne ka zamana hai mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna ab aae wo ab aae lazim unhen aana hai khuddari-o-mahrumi mahrumi-o-khuddari ab dil ko khuda rakkhe ab dil ka zamana hai ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein masum mohabbat ka masum fasana hai aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin bandh jae so moti hai rah jae so dana hai
Related Ghazal
teraa chehra kitna suhaana lagta hai tere aage chaand puraana lagta hai tirche tirche teer nazar ke lagte hain seedha seedha dil pe nishaana lagta hai aag ka kya hai pal do pal men lagti hai bujhte bujhte ek zamaana lagta hai paanv na baandha panchi ka par baandha aaj ka bachcha kitna siyaana lagta hai sach to ye hai phool ka dil bhi chhalni hai hansta chehra ek bahaana lagta hai sunne waale ghanton sunte rahte hain meraa fasana sab ka fasana lagta hai kaif bataa kya teri ghazal men jaadu hai bachcha bachcha teraa deewana lagta hai
Kaif Bhopali
2 likes
achchhii soorat pe ghazab toot ke aanaa dil ka yaad aata hai ha men haaye zam aanaa dil ka tum bhi munh choom lo be-saakhta pyaar aa jaa.e main sunaau jo kabhi dil se fasana dil ka nigah-e-yaar ne ki khana-kharaabi aisina thik aanaa hai jigar ka na thik aanaa dil ka poori mehn dii bhi lagaani nahin aati ab tak kyunkar aaya tujhe ghairoon se lagana dil ka guncha-e-gul ko vo mutthi men li.e aate the main ne poocha to kiya mujh se bah aanaa dil ka in haseenon ka ladakpan hi rahe ya allah hosh aata hai to aata hai sat aanaa dil ka de KHuda aur jagah seena o pahluu ke siva ki bure vaqt men ho jaa.e thik aanaa dil ka meri aaghosh se kya hi vo tadap kar nikle un ka j aanaa tha ilaahi ki ye j aanaa dil ka nigah-e-sharm ko be-taab kiya kaam kiya rang laaya tiri aankhoñ men sam aanaa dil ka ungaliyaan taar-e-garebaan men uljh jaati hain sakht dushwaar hai haathon se dabana dil ka hoor ki shakl ho tum noor ke putle ho tum aur is par tumhein aata hai jalana dil ka chhod kar us ko tiri bazm se kyunkar jaaun ik janaaze ka uth aanaa hai uth aanaa dil ka be-dili ka jo kaha haal to farmaate hain kar liya tu ne kahii aur thik aanaa dil ka baa'd muddat ke ye ai daagh samajh men aaya vahii d aanaa hai kaha jis ne na m aanaa dil ka
Dagh Dehlvi
2 likes
phone to door vahaañ khat bhi nahin pahunchege ab ke ye log tumhein aisi jagah bhejenge zindagi dekh chuke tujh ko bade parde par aaj ke ba'd koi film nahin dekhenge mas'ala ye hai main dushman ke qareen pahunchunga aur kabootar mirii talwaar pe aa baithege ham ko ik baar kinaaron se nikal jaane do phir to sailaab ke paani ki tarah faileinge tu vo dariyaa hai agar jal dii nahin ki tu ne KHud samundar tujhe milne ke li.e aayenge sega-e-raaz men rakkhenge nahin ishq tira ham tire naam se KHushboo ki dukaaan kholenge
Zia Mazkoor
13 likes
kisi ka yuñ to hua kaun umr bhar phir bhi ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi hazaar baar zamaana idhar se guzra hai nayi nayi si hai kuchh teri raahguzaar phir bhi kahooñ ye kaise idhar dekh ya na dekh udhar ki dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi khusa ishaara-e-paiham zahe sukoot-e-nazar daraaz ho ke fasana hai mukhtasar phir bhi jhapak rahi hain zamaan o makaan ki bhi aañkhen magar hai qaafila aamada-e-safar phir bhi shab-e-firaq se aage hai aaj meri nazar ki kat hi jaayegi ye shaam-e-be-sehr phir bhi kahii yahii to nahin kaashif-e-hayaat-o-mamaat ye husn o ishq ba-zaahir hain be-KHabar phir bhi palat rahe hain ghareeb-ul-watan palatna tha vo koocha roo-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhi luta hua chaman-e-ishq hai nigaahon ko dikha gaya vahii kya kya gul o samar phir bhi KHaraab ho ke bhi socha ki.e tire mahjoor yahii ki teri nazar hai tiri nazar phir bhi ho be-niyaaz-e-asar bhi kabhi tiri miTTi vo keemiya hi sahi rah gaii kasar phir bhi lipt gaya tira deewaana garche manzil se udri udri si hai ye khaak-e-rahguzar phir bhi tiri nigaah se bachne men umr guzri hai utar gaya rag-e-jaan men ye neshtar phir bhi gham-e-firaq ke kushto'n ka hashr kya hogaa ye shaam-e-hijr to ho jaayegi sehar phir bhi fana bhi ho ke giraa-baari-e-hayaat na pooch uthaaye uth nahin saka ye dard-e-sar phir bhi sitam ke rang hain har iltifaat-e-pinhaan men karam-numa hain tire jaur sar-b-sar phir bhi khatamuaaf tira 'afv bhi hai misl-e-saza tiri saza men hai ik shaan-e-dar-guzar phir bhi agarche be-khudi-e-ishq ko zamaana hua firaq karti rahi kaam vo nazar phir bhi
Firaq Gorakhpuri
2 likes
kaabe ki hai havas kabhi koo-e-butaan ki hai mujh ko khabar nahin mirii miTTi kahaan ki hai sun ke mira fasana unhen lutf aa gaya sunta hooñ ab ki roz talab qissa-khwaan ki hai paigham-bar ki baat par aapas men ranj kya mirii zabaan ki hai na tumhaari zabaan ki hai kuchh taazgi ho lazzat-e-aazaar ke li.e har dam mujhe talash naye aasmaañ ki hai jaan-bar bhi ho ga.e hain bahut mujh se neem-jaan kya gham hai ai tabeeb jo poori vahaañ ki hai hasrat baras rahi hai hamaare mazaar par kahte hain sab ye qabr kisi naujavaan ki hai waqt-e-khiraam-e-naaz dikha do juda juda ye chaal hashr ki ye ravish aasmaañ ki hai furqat kahaan ki ham se kisi vaqt tu mile din gair ka hai raat tire paasbaan ki hai qaasid ki guftugoo se tasalli ho kis tarah chhupti nahin vo baat jo teri zabaan ki hai jor-e-raqeeb o zulm-e-falak ka nahin khayal tashveesh ek khaatir-e-na-mehrabaan ki hai sun kar mira fasaana-e-gham us ne ye kaha ho jaa.e jhooth sach yahii khoobi bayaañ ki hai daaman sambhaal baandh kamar aasteen chadha khanjar nikaal dil men agar imtihaan ki hai har har nafs men dil se nikalne laga ghubaar kya jaane gard-e-raah ye kis kaarwaan ki hai kyunki na aate khuld se aadam zameen par mauzoon wahin vo khoob hai jo sunte jahaan ki hai taqdeer se ye pooch raha hooñ ki ishq men tadbeer koi bhi sitam-e-na-gahaan ki hai urdu hai jis ka naam humeen jaante hain daagh hindostaan men dhoom hamaari zabaan ki hai
Dagh Dehlvi
1 likes
More from Jigar Moradabadi
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Jigar Moradabadi
1 likes
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
ab to ye bhi nahin raha ehsaas dard hota hai ya nahin hota ishq jab tak na kar chuke rusva aadmi kaam ka nahin hota toot padta hai dafa'atan jo ishqbesh-tar der-paa nahin hota vo bhi hota hai ek vaqt ki jab maa-siwaa maa-siwaa nahin hota haaye kya ho gaya tabi'at ko gham bhi rahat-fazaa nahin hota dil hamaara hai ya tumhaara hai ham se ye faisla nahin hota jis pe teri nazar nahin hotius ki jaanib KHuda nahin hota main ki be-zaar umr bhar ke li.e dil ki dam-bhar juda nahin hota vo hamaare qareeb hote hain jab hamaara pata nahin hota dil ko kya kya sukoon hota hai jab koi aasraa nahin hota ho ke ik baar saamna un se phir kabhi saamna nahin hota
Jigar Moradabadi
4 likes
aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai bhool jaata hooñ main sitam us ke vo kuchh is saadgi se milta hai aaj kya baat hai ki phoolon ka rang teri hañsi se milta hai silsila fitna-e-qayaamat ka teri khush-qaaamati se milta hai mil ke bhi jo kabhi nahin milta toot kar dil usii se milta hai kaarobaar-e-jahaan sanvarte hain hosh jab be-khu dii se milta hai rooh ko bhi mazaa mohabbat ka dil ki hum-saayegi se milta hai
Jigar Moradabadi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







