jeevan mujh se main jeevan se sharmaata hooñ mujh se aage jaane waalo men aata hooñ jin ki yaadon se raushan hain meri aañkhen dil kahtaa hai un ko bhi main yaad aata hooñ sur se saanson ka naata hai todoo kaise tum jalte ho kyun jeeta hooñ kyun gaata hooñ tum apne daaman men sitaare baith kar taanko aur main naye barn lafzon ko pahnaata hooñ jin KHvaabon ko dekh ke main ne jeena seekha un ke aage har daulat ko thukraata hooñ zahar ugalte hain jab mil kar duniya waale meethe bolon ki waa dii men kho jaata hooñ jaalib mere she'r samajh men aa jaate hain isee li.e kam-rutba shaayar kahlaata hooñ
Related Ghazal
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
ye kis tarah ka ta'alluq hai aapka mere saath mujhe hi chhod ke jaane ka mashwara mere saath yahii kahii ha men raston ne baddua dii thii magar main bhool gaya aur kaun tha mere saath vo jhaankta nahin khidki se din nikalta hai tujhe yaqeen nahin aa raha to aa mere saath
Tehzeeb Hafi
92 likes
kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne men kat rahi hai ki ye udaasi hamaare jismoon se kis khushi men lipt rahi hai ajeeb dukh hai ham us ke hokar bhi us ko choone se dar rahe hain ajeeb dukh hai hamaare hisse ki aag auron men bat rahi hai main us ko har roz bas yahii ek jhooth sunne ko phone karta suno yahaañ koi mas’ala hai tumhaari awaaz kat rahi hai mujh aise pedon ke sookhne aur sabz hone se kya kisi ko ye bel shaayad kisi museebat men hai jo mujh se lipt rahi hai ye vaqt aane pe apni aulaad apne azdaad bech degi jo fauj dushman ko apna saalar girvi rakh kar palat rahi hai so is ta'alluq men jo galat-fahmiyaan theen ab door ho rahi hain ruki hui gaadiyon ke chalne ka vaqt hai dhundh chhat rahi hai
Tehzeeb Hafi
88 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ashq zaayaa' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main waha rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh par kitne ehsaan hai guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ke meraa humsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kata hai kahii vo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab men us..ko choo to leta tha magar rota na tha giriyo zaari ko bhi ek khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main waqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
85 likes
More from Habib Jalib
aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah
Habib Jalib
1 likes
phir dil se aa rahi hai sadaa us gali men chal shaayad mile ghazal ka pata us gali men chal kab se nahin hua hai koi she'r kaam ka ye she'r ki nahin hai fazaa us gali men chal vo baam o dar vo log vo rusvaaiyon ke zakham hain sab ke sab aziz juda us gali men chal us phool ke baghair bahut jee udaas hai mujh ko bhi saath le ke saba us gali men chal duniya to chahti hai yoonhi faasle rahen duniya ke mashwaron pe na ja us gali men chal be-noor o be-asar hai yahaañ ki sada-e-saaz tha us sukoot men bhi mazaa us gali men chal jaalib pukaarti hain vo shola-nawaiyaan ye sard rut ye sard hawa us gali men chal
Habib Jalib
2 likes
us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya
Habib Jalib
1 likes
apnon ne vo rang diye hain begaane yaad aate hain dekh ke is bastii ki haalat veeraane yaad aate hain is nagri men qadam qadam pe sar ko jhukaana padta hai is nagri men qadam-qadam par butkhaane yaad aate hain aañkhen puranam ho jaati hain ghurbat ke sehraaon men jab us rimjhim ki waa dii ke afsaane yaad aate hain aise-aise dard mile hain naye dayaaron men hamko bichhde hue kuchh log purane yaaraane yaad aate hain jinke kaaran aaj hamaare haal pe duniya hansati hai kitne zalim chehre jaane-pahchaane yaad aate hain yoon na luti thii galiyon-galiyon daulat apne ashkon ki rote hain to hamko apne ghamkhaane yaad aate hain koi to parcham lekar nikle apne garebaan ka jaalib chaaron jaanib sannaata hai deewane yaad aate hain
Habib Jalib
2 likes
ham ne dil se tujhe sadaa maana tu badaa tha tujhe badaa maana meer'-o-'ghalib ke baa'd anees ke baa'd tujh ko maana badaa baja maana tu ki deewana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab KHuda maana tujh ko parwa na thii zamaane ki tu ne dil hi ka har kaha maana tujh ko KHud pe tha e'timaad itnaa KHud hi ko to na rehnuma maana ki na shab ki kabhi paziraai subh ko laaiq-e-sana maana hañs diya sath-e-zehn-e-aalam par jab kisi baat ka bura maana yuñ to sha'ir the aur bhi ai josh ham ne tujh sa na doosra maana
Habib Jalib
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Habib Jalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.







