ghazalKuch Alfaaz

kab tak is pyaas ke sehra men jhulaste jaayen ab ye baadal jo uthe hain to barsate jaayen kaun batlaaye tumhein kaise vo mausam hain ki jo mujh se hi door rahen mujh men hi baste jaayen ham se azaad-mizaajon pe ye uftaad hai kya chahte jaayen use KHud ko tarsate jaayen haaye kya log ye aabaad hue hain mujh men pyaar ke lafz likhen lehje se daste jaayen aaina dekhooñ to ik chehre ke be-rang nuqoosh ek na-deeda si zanjeer men kaste jaayen juz mohabbat kise aaya hai muyassar ummeed aisa lamha ki jidhar sadiyon ke raaste jaayen

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge

Tehzeeb Hafi

88 likes

More from Ummeed Fazli

aql ne ham ko yuñ bhatkaaya rah na sake deewane bhi aabaa dii ko dhoondhne nikle kho baithe veeraane bhi chashm-e-saaqi bhi nam hai lau dete hain paimaane bhi tishna-labi ke sail-e-tapaan se bach na sake maykhaane bhi sang-e-jafa ko khush-khabri do muzda do zanjeeron ko shehar-e-khirad men aa pahunchen hain ham jaise deewane bhi ham ne jab jis dost ko bhi aaina dikhaaya maazi ka hairaan ho kar aks ne poocha aap mujhe pahchaane bhi jism ki tishna-saamaani se jism hi na-aasooda nahin toot ga.e is zad par aa kar rooh ke taane-baane bhi andeshe aur bazm-e-jaanan daar ka zikr aur itnaa sukoot deewaanon ke bhes men shaayad aa pahunchen farzaane bhi

Ummeed Fazli

0 likes

maqtal-e-jaan se ki zindaan se ki ghar se nikle ham to KHushboo ki tarah nikle jidhar se nikle gar qayamat ye nahin hai to qayamat kya hai shahar jalta raha aur log na ghar se nikle jaane vo kaun si manzil thii mohabbat ki jahaan mere aañsu bhi tire deeda-e-tar se nikle dar-b-dari ka ha men taana na de ai chashm-e-ghazal dekh vo KHvaab ki jis ke li.e ghar se nikle meraa rehzan hua kya kya na pashemaan ki jab is ke naa men mere asbaab-e-safar se nikle bar-sar-e-dosh rahe ya sar-e-nezaa ya-rab haq-parasti ka na sauda kabhi sar se nikle

Ummeed Fazli

0 likes

vo KHvaab hi sahi peshe-e-nazar to ab bhi hai bichhadne vaala shareek-e-safar to ab bhi hai zabaan burida sahi main khizan-gazeeda sahi hara-bhara mira zakhm-e-hunar to ab bhi hai suna tha ham ne ki mausam badal ga.e hain magar zameen se faaslaa-e-abr-e-tar. to ab bhi hai hamaari dar-badri par na jaaie ki ha men shuur-e-saaya-e-deewaar-o-dar to ab bhi hai havas ke daur men mamnoon-e-yaad-e-yaar hain ham ki yaad-e-yaar dilon ki sipar to ab bhi hai kahaaniyaan hain agar mo'tabar to phir ik shaKHs kahaaniyon ki tarah mo'tabar to ab bhi hai hazaar kheench le suraj hisaar-e-abr magar kiran kiran pe girift-e-nazar to ab bhi hai samundron se zameenon ko khauf kya ki umeed numoo-pazeer zameen-e-hunar to ab bhi hai magar ye kaun badalti hui rutoon se kahe shajar men saaya nahin hai shajar to ab bhi hai

Ummeed Fazli

0 likes

ik aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai koi faseel-e-ana se utar bhi aata hai tiri talash men jaane kahaan bhatk jaaun safar men dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai talash saa.e ki laai jo dasht se to khula azaab-e-soorat-e-deewaar-o-dar bhi aata hai sakoon to jab ho ki main chaanv sehan men dekhooñ nazar to vaise gali ka shajar bhi aata hai badan ki KHaak samete hue ho kya logon safar men lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai dilon ko zakham na do harf-e-na-mulaayem se ye teer vo hai ki jo laut kar bhi aata hai main shahar men kise ilzaam-e-na-shanaasi doon ye harf KHud mire kirdaar par bhi aata hai nazar ye kis se mili na-gahaan ki yaad aaya isee gali men kahii meraa ghar bhi aata hai hawa ke rukh pe nazar taairaam-e-khush-parvaaz qafas ka saaya pas-e-baal-o-par bhi aata hai main harf harf men utara hooñ raushni ki tarah so kaayenaat ka chehra nazar bhi aata hai lahu se harf taraashein jo meri tarah ummeed unhin ke hisse men zakhm-e-hunar bhi aata hai

Ummeed Fazli

0 likes

naaz kar naaz ki ye naaz juda hai sab se miraa lahjaa mirii awaaz juda hai sab se juz mohabbat kise maaloom ki vo chashm-e-haya baat to karti hai andaaz juda hai sab se jis ko bhi maar diya zinda-e-jaaved kiya harf-e-haq teraa ye ej'aaz juda hai sab se dekhna kaun hai kya us ko nahin jaan-e-azeez sar-e-darbaar ik awaaz juda hai sab se toot jaata hai to sur aur bhi lau dete hain dil jise kahte hain vo saaz juda hai sab se soch kar daam bichaana zaraa ai mauj-e-hawa mere inkaar ki parvaaz juda hai sab se nashsha-e-dahr-o-qayaamat ka to kya zikr umeed vo miraa sarv-e-sar-afraaz juda hai sab se

Ummeed Fazli

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ummeed Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ummeed Fazli's ghazal.