KHuda ka shukr meraa thekedaar achha hai wagarana kaun zaaheefon se kaam leta hai mishaal khaan teri ungliyaan nahin tooti hamaari maon ke hoton ka lams toota hai main us hatheli pe raushan hua uske baad vahii hua jo chiraagon ke saath hota hai
Related Ghazal
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai
Tehzeeb Hafi
182 likes
mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Ahmad Abdullah
50 likes
More from Zia Mazkoor
phone to door vahaañ khat bhi nahin pahunchege ab ke ye log tumhein aisi jagah bhejenge zindagi dekh chuke tujh ko bade parde par aaj ke ba'd koi film nahin dekhenge mas'ala ye hai main dushman ke qareen pahunchunga aur kabootar mirii talwaar pe aa baithege ham ko ik baar kinaaron se nikal jaane do phir to sailaab ke paani ki tarah faileinge tu vo dariyaa hai agar jal dii nahin ki tu ne KHud samundar tujhe milne ke li.e aayenge sega-e-raaz men rakkhenge nahin ishq tira ham tire naam se KHushboo ki dukaaan kholenge
Zia Mazkoor
13 likes
isse aapka dukh bhi ho jaayega achha khaasa kam mujh par guzre lamhon men se kar do bas ek lamha kam bade-bade shehron men koi kaise kisi se pyaar kare jitne aamne saamne ghar hai utna aanaa j aanaa kam uske pistol se ek goli kam hone ka matlab hai apne shahar men udne waale gol se ek parinda kam kal to vo aur uski kashtii bas jalne hi waale the dariyaa us par kaafi garam tha lekin aag se thoda kam sadke jaaun un cheezon par jinko uske haath lage ajab mechanic tha vo jisne toda ziyaada joda kam
Zia Mazkoor
15 likes
hamaare saath koi mas'ala furaat ka hai wagarana ilm use apni mushkilaat ka hai mere hisaab se maazoori husn hai meraa agar ye aib hai to bhi KHuda ke haath ka hai ik aadhe kaam ke haq men to khair main bhi hoon tumhaare paas to daftar shifaarishaat ka hai hamaari baat ka jitna wasi'a pahluu hai zubaan pe laane men nuksaan kaaynaat ka hai ham uske hone na hone pe kitna lad rahe hain kisi ke vaaste yah khel nafsiyaat ka hai
Zia Mazkoor
8 likes
shah se chupke qaidee ne shehzaa dii ko paigaam likha jang se bhaagne waalon men shehzaade ka bhi naam likha dooradraaz se aane waale khat meri hamsaahi ke the ik din usne himmat karke apna asli naam likha ham dono ne apne apne deen pe kaayam rahna tha ghar ki ik deewaar pe allah ik deewaar pe raam likha ek mohabbat khatm hui to doosri ki taiyaari ki nayi kahaanii ke aagaaz men pahli ka anjaam likha
Zia Mazkoor
17 likes
ziyaada kuchh nahin himmat to kar hi sakte hain ik achchhe kaam ki niyat to kar hi sakte hain KHuda ke haath se likkha muqaddar apni jagah ham uske bande hain mehnat to kar hi sakte hain gareeb log marammat na kar saken to kya shikasta ghar ki hifazat to kar hi sakte hain hamaare bacche ijaazat talab nahin karte magar bataane ki zahmat to kar hi sakte hain hazaaron saal guzaare hain muqte dii rah kar ik-aadh baar imaamat to kar hi sakte hain to kya hua jo shareeke-hayaat ban na sake tumhaari shaa dii men shirkat to kar hi sakte hain
Zia Mazkoor
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zia Mazkoor.
Similar Moods
More moods that pair well with Zia Mazkoor's ghazal.







