ghazalKuch Alfaaz

kya haqeeqat kahooñ ki kya hai ishqhaq-shanaason ke haan KHuda hai ishq dil laga ho to jee jahaan se utha maut ka naam pyaar ka hai ishq aur tadbeer ko nahin kuchh dakhl ishq ke dard ki davaa hai ishq kya dubaaya muheet men gham ke ham ne jaana tha aashna hai ishq ishq se ja nahin koi khaali dil se le arsh tak bhara hai ishq kohkan kya pahaad kaatega parde men zor-aazma hai ishq ishq hai ishq karne waalon ko kaisa kaisa bahm kiya hai ishq kaun maqsad ko ishq bin pahuncha aarzoo ishq muddaa hai ishq meer marna pade hai khooban par ishq mat kar ki bad bala hai ishq

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Meer Taqi Meer

yuñ hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon itni baatein mat banaa mujh shefate se naaseha pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon surkh rahtii hain mirii aañkhen lahu rone se shaikh may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hooñ ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe aise kis mahroom ka men shor-e-be-taaseer hooñ jon kamaan garche khameeda hooñ pe chhoota aur wahinus ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hooñ jo mire hisse men aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hooñ khol kar deevaan meraa dekh qudrat muddai garche hooñ main naujavaan par sha'iron ka peer hooñ yuñ saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hooñ is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji baaz aao warna apne naam ko main meer hooñ

Meer Taqi Meer

0 likes

shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka

Meer Taqi Meer

0 likes

khat likh ke koi saada na us ko malool ho ham to hooñ bad-gumaan jo qaasid-e-rasool ho chaahoon to bhar ke kaulee utha luun abhii tumhein kaise hi bhari ho mire aage to phool ho surma jo noor bakshe hai aankhoñ ko khalk ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi KHaak dhool ho jaaven nisaar hone ko ham kis bisaat par ik neem jaañ rakhen hain so vo jab qubool ho ham in dinon men lag nahin padte hain subh-o-shaam warna dua karen to jo chahein husool ho dil le ke launde dilli ke kab ka pacha ga.e ab un se khaai pee hui shay kiya vasool ho naakaam is li.e ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to meer saahib-o-qibla ajuul ho

Meer Taqi Meer

0 likes

gilaa nahin hai ha men apni jaan-gudaazi ka jigar pe zakham hai us ki zabaan-daraazi ka samand-e-naaz ne us ke jahaan kiya paamaal vahii hai ab bhi use shauq tark taazi ka sitam hain qahr hain launde sharaab-khaane ke utaar lete hain amaama har namaazi ka ult-palat mirii aah-e-sehr ki kya hai kam agar khayal tumhein hove neza-baazi ka batao ham se koi aan tum se kya bigdi nahin hai tum ko saleeqa zamaana-saazi ka KHuda ko kaam to saumpe hain main ne sab lekin rahe hai khauf mujhe waan ki be-niyaazi ka chalo ho raah-e-muaafiq kahe mukhalif ke tariq chhod diya tum ne dil-nawaazi ka kaso ki baat ne aage mire na paaya rang dilon men naqsh hai mirii sukhan-taraazi ka basaan-e-khaak ho paamaal raah-e-khalk ai meer rakhe hai dil men agar qasd sarfaraazi ka

Meer Taqi Meer

0 likes

makka gaya madeena gaya karbala gaya jaisa gaya tha waisa hi chal phir ke aa gaya dekha ho kuchh us aamad-o-shud men to main kahooñ KHud gum hua hooñ baat ki tah ab jo pa gaya kapde gale ke mere na hon aab-deeda kyun maanind-e-abr deeda-e-tar ab to chha gaya jaan-soz aah o naala samajhta nahin hooñ main yak shola mere dil se utha tha jala gaya vo mujh se bhaagta hi fira kibr-o-naaz se jun jun niyaaz kar ke main us se laga gaya jor-e-sephar-e-doon se bura haal tha bahut main sharm-e-na-kasi se zameen men samaa gaya dekha jo raah jaate tabkhtur ke saath use phir mujh shikasta-paa se na ik-dam raha gaya baitha to boriye ke tai sar pe rakh ke meer saf kis adab se ham fukraa ki utha gaya

Meer Taqi Meer

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.