ghazalKuch Alfaaz

majaaz ain-e-haqeeqat hai ba-safa ke li.e buton ko dekh raha hooñ magar KHuda ke li.e asar men ho ga.e kyun saath aasmaañ haael abhii to haath uthe hi nahin dua ke li.e hua bas ek hi naale men dam fana apna ye taaziyaana tha umr-e-gurez-paa ke li.e ilaahi ek gham-e-rozgaar kya kam tha ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke li.e ha men to daavar-e-mahshar ko chhodate hi banii khata-e-ishq na kaafi hui saza ke li.e usii ko raah dikhaata hooñ jo mitaaye mujhe main hooñ to noor magar chashm-e-naqsh-e-paa ke li.e ye jaanta hooñ ki hai nisf shab magar saaqi zaraa si chahiye ik mard-e-paarsa ke li.e ilaahi tere karam se mile may o maashooq ab iltijaa hai barasti hui ghatta ke li.e hafiz aazim-e-kaaba hua hai jaane do ab us pe rahm karo ai buto KHuda ke li.e

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai

Tehzeeb Hafi

182 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

More from Hafeez Jalandhari

dosti ka chalan raha hi nahin ab zamaane ki vo hawa hi nahin sach to ye hai sanam-kade waalo dil KHuda ne tumhein diya hi nahin palat aane se ho gaya saabit nama-bar tu vahaañ gaya hi nahin haal ye hai ki ham ghareebon ka haal tum ne k abhii suna hi nahin kya chale zor dasht-e-vahshat ka ham ne daaman k abhii siya hi nahin gair bhi ek din marengay zaroor un ke hisse men kya qaza hi nahin us ki soorat ko dekhta hooñ main meri seerat vo dekhta hi nahin ishq meraa hai shahar men mashhoor aur tum ne abhii suna hi nahin qissa-e-qais sun ke farmaaya jhooth ki koi intiha hi nahin vaasta kis ka den hafiz un ko un buton ka koi KHuda hi nahin

Hafeez Jalandhari

0 likes

aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge

Hafeez Jalandhari

1 likes

koi davaa na de sake mashwara-e-dua diya charagaron ne aur bhi dard dil ka badha diya dono ko de ke sooraten saath hi aaina diya ishq bisorne laga husn ne muskuraa diya zaauq-e-nigaah ke siva shauq-e-gunaah ke siva mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya thii na khizaan ki rok-thaam daman-e-ikhtiyaar men ham ne bharii bahaar men apna chaman luta diya husn-e-nazar ki aabroo sanat-e-barahman se hai jis ko sanam banaa liya us ko KHuda banaa diya daagh hai mujh pe ishq ka meraa gunaah bhi to dekhus ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya ishq ki mamlakat men hai shorish-e-aql-e-na-muraad ubhara kahii jo ye fasaad dil ne wahin daba diya naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe dhoondte ho kya harf-e-ghalat nazar pada tum ne mujhe mita diya khubs-e-darun dikha diya har dehan-e-ghaliz ne kuchh na kaha hafiz ne hañs diya muskuraa diya

Hafeez Jalandhari

1 likes

koi chaara nahin dua ke siva koi sunta nahin KHuda ke siva mujh se kya ho sakaa vafaa ke siva mujh ko milta bhi kya saza ke siva bar-sar-e-saahil muraad yahaañ koi ubhara hai naKHuda ke siva koi bhi to dikhaao manzil par jis ko dekha ho rehnuma ke siva dil sabhi kuchh zabaan par laaya ik faqat arz-e-muddaa ke siva koi raazi na rah sakaa mujh se mere allah tiri raza ke siva but-kade se chale ho kaabe ko kya milega tumhein KHuda ke siva doston ke ye mukhlisaana teer kuchh nahin meri hi KHataa ke siva mehr o mah se buland ho kar bhi nazar aaya na kuchh khala ke siva ai hafiz aah aah par aaKHir kya kahein dost waah vaa ke siva

Hafeez Jalandhari

4 likes

mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main

Hafeez Jalandhari

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.