mire sang-e-mazaar par farhaad rakh ke tesha kahe hai ya ustaad ham se bin marg kya juda ho malaal jaan ke saath hai dil-e-naashaad moond aañkhen safar adam ka kar bas hai dekha na aalam-e-eejaad fikr-e-ta'meer. men na rah munim zindagaani ki kuchh bhi hai buniyaad KHaak bhi sar pe daalne ko nahin kis kharaabe men ham hue aabaad sunte ho tuk suno ki phir mujh baadna sunoge ye naala o fariyaad lagti hai kuchh sumoom si to naseem KHaak kis diljale ki barbaad bhoola jaa.e hai gham-e-butaan men jee garz aata hai phir KHuda hi yaad tere qaid-e-qafas ka kya shikwa naale apne se apne se fariyaad har taraf hain aseer ham-aawaz baagh hai ghar tira to ai sayyaad ham ko marna ye hai ki kab hon kahii apni qaid-e-hayaat se azaad aisa vo shokh hai ki uthte subh jaana so jaa.e us ki hai mo'taad nahin soorat-pazeer naqsh us ka yuñ hi tasdeeq kheeche hai bahzaad khoob hai KHaak se buzurgon ki chaahna to mire tai imdaad par muravvat kahaan ki hai ai meer tu hi mujh diljale ko kar irshaad na-muraa dii ho jis pe parwaana vo jalata phire charaagh-e-muraad
Related Ghazal
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
bulaati hai magar jaane ka nahin ye duniya hai idhar jaane ka nahin mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nahin zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho chale ho to thehar jaane ka nahin sitaare noch kar le jaaunga main khaali haath ghar jaane ka nahin vaba phaili hui hai har taraf abhii maahol mar jaane ka nahin vo gardan naapta hai naap le magar zaalim se dar jaane ka nahin
Rahat Indori
59 likes
mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai
Ahmad Abdullah
50 likes
More from Meer Taqi Meer
kharaabi kuchh na poochho mulakat-e-dil ki imarat ki ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaa dii hi gharaat ki nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka pade the baagh men yak-musht par udhar ishaarat ki jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam usii aatish ke par kaale ne ham se bhi sharaarat ki nazaakat kya kahooñ khursheed-roo ki kal shab-e-mah men gaya tha saa.e saa.e baagh tak tis par hararat ki nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe haqeeqat kuchh na poochho peer-e-kan'aan ki basaarat ki tire kooche ke shauq-e-tauf men jaise bagoola tha biyaabaan main ghubaar meer ki ham ne ziyaarat ki
Meer Taqi Meer
0 likes
mehr ki tujh se tavakko thii sitamgar niklaa mom samjhe the tire dil ko so patthar niklaa daagh hooñ rask-e-mohabbat se ki itnaa betaab kis ki taskin ke li.e ghar se tu baahar niklaa jeete jee aah tire kooche se koi na fira jo sitam-deeda raha ja ke so mar kar niklaa dil ki aabaa dii ki is had hai kharaabi ki na pooch jaana jaata hai ki us raah se lashkar niklaa ashk-e-tar qatra-e-khoon lakht-e-jigar paara-e-dil ek se ek addad aankh se bah kar niklaa kunj-kaavi jo ki seene ki gham-e-hijraan ne is dafneene men se aqsaam-e-jawaahar niklaa ham ne jaana tha likhega tu koi harf ai meer par tira naama to ik shauq ka daftar niklaa
Meer Taqi Meer
0 likes
mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
khush-qadaan jab sawaar hote hain sarv-o-qumri shikaar hote hain tere baalon ke wasf men mere she'r sab paechdaar hote hain aao yaad-e-butaan pa bhool na jaao ye taghaful-shiaar hote hain dekh levengay gair ko tujh paaas sohbaton men bhi yaar hote hain sadqe ho leven ek-dam tere paahir to tujh paar nisaar hote hain tu kare hai qaraar milne ka ham abhii be-qaraar hote hain haft-iqleem har gali hai kahii dilli se bhi dayaar hote hain rafta rafta ye tifl-e-khush-zaahir fitna-e-rozgaar hote hain us ke nazdeek kuchh nahin izzat meer'-ji yuñ hi khwaar hote hain
Meer Taqi Meer
0 likes
shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







