na chhed zaahid-e-naadaan sharaab peene de sharaab peene de khaana-kharaab peene de abhii se apni naseehat ka zahar de na mujhe abhii to peene de aur be-hisaab peene de main jaanta hooñ chhalakta hua gunaah hai ye tu is gunaah ko be-ehtisaab peene de phir aisa vaqt kahaan ham kahaan sharaab kahaan tilism-e-dahr hai naqsh-e-bar-aab peene de mire dimaagh ki duniya ka aftaab hai ye mila ke barf men ye aftaab peene de kisi haseena ke boson ke qaabil ab na rahe to in labon se hamesha sharaab peene de samajh ke us ko ghafoor-ur-raheem peeta hoonna chhed zikr-e-azaab-o-sawaab peene de jo rooh ho chuki ik baar daagh-daar mirii to aur hone de lekin sharaab peene de sharaab-khaane men ye shor kyun machaaya hai KHamosh akhtar-e-khaana-kharaab peene de
Related Ghazal
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
apne bacchon se bahut dartaa hooñ main bilkul apne baap ke jaisa hooñ main jinko aasaani se mil jaata hooñ main vo samjhte hai bahut sasta hooñ main ja nadi se poonch sharaabi meri kis ghade ne kah diya pyaasa hooñ main meri khwaahish hai ki darwaaza khule varna khidki se bhi aa saka hooñ main doosre bas tod sakte hai mujhe sirf apni chaabi se khulta hooñ main
Zubair Ali Tabish
31 likes
roo-b-roo tere bahut der bithaaya gaya main vajd men aaya nahin vajd men laaya gaya main silsila khatm na hogaa ye dil-aazaari ka is se pahle bhi kaii baar manaaya gaya main yuñ laga sab ne gawaahi dii ki tu meraa hai jab tire naam se bastii men sataaya gaya main jab jab asraar mirii zaat ke khulne se rahe chhed kar zikr tira vajd men laaya gaya main mujh se raaste men thehrne ki aziyyat poochho thokren maar ke raaste se hataaya gaya main
Ismail Raaz
9 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
maine to bas mazaq men poocha KHaraab hai vo peer haath dekh ke bola kharaab hai har din use dikhaaya ki kitne shareef hain har raat uske baare men socha kharaab hai ye ishq ho chuka hai turup-chaal taash ki aage ghulaam ke mira ikka kharaab hai azaad ladkiyon se bhalii qaid auratein matlab ki jheel theek hai dariyaa kharaab hai ham jis KHuda ki aas men baithe hain raat din vo ja chuka hai bol ke duniya kharaab hai zyaada kisi ki maut pe rona nahin sahi aur janmdin pe shor sharaaba kharaab hai aadha bhi uske jitna main raushan nahin hua main jis diye ko bol raha tha kharaab hai
Kushal Dauneria
35 likes
More from Akhtar Shirani
la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan zindagaani phir kahaan naadaan jawaani phir kahaan do ghadi mil baithne ko bhi ghaneemat jaaniye umr faani hi sahi ye umr-e-faani phir kahaan aa ki ham bhi ik taraana jhoom kar gaate chalen is chaman ke taaeron ki hum-zabaani phir kahaan hai zamaana ishq-e-salma men ganwa de zindagi ye zamaana phir kahaan ye zindagaani phir kahaan ek hi bastii men hain aasaan hai milnaa aa milo kya khabar le jaa.e daur-e-aasmaani phir kahaan fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizaan aane ko hai ye chaman ye bulbulein ye naghma-khwaani phir kahaan phool chun jee khol kar aish-o-tarab ke phool chun mausam-e-gul phir kahaan fasl-e-jawaani phir kahaan aakhiri raat aa gaii jee bhar ke mil len aaj to tum se milne dega daur-e-aasmaani phir kahaan aaj aa.e ho to sunte jaao ye taaza ghazal warna akhtar phir kahaan ye sher-khwaani phir kahaan
Akhtar Shirani
1 likes
vo kahte hain ranjish ki baatein bhula den mohabbat karen KHush rahen muskuraa den ghuroor aur hamaara ghuroor-e-mohabbat mah o mehr ko un ke dar par jhuka den jawaani ho gar jaavedaani to ya rab tiri saada duniya ko jannat banaa den shab-e-wasl ki be-khu dii chha rahi hai kaho to sitaaron ki shamaein bujha den bahaarein simat aayen khil jaayen kaliyaan jo ham tum chaman men kabhi muskuraa den ibadat hai ik be-khu dii se ibaarat haram ko may-e-mushk-boo se basa den vo aayenge aaj ai bahaar-e-mohabbat sitaaron ke bistar pe kaliyaan bichha den banata hai munh talkhi-e-may se zaahid tujhe baagh-e-rizwaan se kausar manga den jinhen umr bhar yaad aanaa sikhaaya vo dil se tiri yaad kyunkar bhula den tum afsaana-e-qais kya poochte ho idhar aao ham tum ko leila banaa den ye be-dardiyaan kab tak ai dard-e-ghurbat buton ko phir arz-e-haram men basa den vo sarmastiyaan bakhsh ai rashk-e-sheereen ki khusro ko khwaab-e-adam se jaga den tire vasl ki be-khu dii kah rahi hai KHudaai to kya ham KHuda ko bhula den unhen apni soorat pe yuñ naaz kab tha mire ishq-e-ruswa ko akhtar dua den
Akhtar Shirani
1 likes
zamaan-e-hijr mite daur-e-wasl-e-yaar aa.e ilaahi ab to khizaan jaa.e aur bahaar aa.e sitam-zareefi-e-fitrat ye kya mu'ammaa hai ki jis kali ko bhi soonghoon main boo-e-yaar aa.e chaman ki har kali aamaada-e-tabassum hai bahaar ban ke mirii jaan-e-nau-bahaar aa.e hain tishna-kaam ham un baadlon se pooche koi kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aa.e tire khayal ki be-taabiyaan ma'az-allah ki ek baar bhulaayen to laakh baar aa.e vo aayen yuñ mire aagosh-e-ishq men akhtar ki jaise aankhoñ men ik khwaab-e-be-qaraar aa.e
Akhtar Shirani
0 likes
kaam aa sakeen na apni vafaaayen to kya kareinus bevafaa ko bhool na jaayen to kya karen mujh ko ye e'tiraaf duaon men hai asar jaayen na arsh par jo duaein to kya karen ik din ki baat ho to use bhool jaayen ham naazil hon dil pe roz balaen to kya karen zulmat-b-dosh hai mirii duniya-e-aashiqi taaron ki mish'ale na churaayen to kya karen shab bhar to un ki yaad men taare gina ki.e taare se din ko bhi nazar aayen to kya karen ahad-e-tarab ki yaad men roya ki.e bahut ab muskuraa ke bhool na jaayen to kya karen ab jee men hai ki un ko bhula kar hi dekh len vo baar baar yaad jo aayen to kya karen wa'de ke e'tibaar men taskin-e-dil to hai ab phir vahii fareb na khaayen to kya karen tark-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi magar milne lagen vafaa ki sazaayen to kya karen
Akhtar Shirani
0 likes
gham-e-zamaana nahin ik azaab hai saaqi sharaab la mirii haalat KHaraab hai saaqi shabaab ke li.e tauba azaab hai saaqi sharaab la mujhe paas-e-shabaab hai saaqi utha piyaala ki gulshan pe phir barsne lagii vo may ki jis ka qadah mahtaab hai saaqi nikaal parda-e-meena se dukhtar-e-raz ko ghatta men kis li.e ye mahtaab hai saaqi tu waizoon ki na sun may-kashon ki khidmat kar gunah savaab ki khaatir savaab hai saaqi zamaane-bhar ke ghamon ko hai daawat-e-gharraa ki ek jaam men sab ka javaab hai saaqi kalaam jis ka hai me'raaj haafiz-o-khayyaam yahii vo akhtar-e-khaana-kharaab hai saaqi
Akhtar Shirani
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akhtar Shirani.
Similar Moods
More moods that pair well with Akhtar Shirani's ghazal.







