naye kapde badal kar jaaun kahaan aur baal banaaun kis ke li.e vo shaKHs to shahar hi chhod gaya main baahar jaaun kis ke li.e jis dhoop ki dil men thandak thii vo dhoop usii ke saath gaii in jaltee baltee galiyon men ab KHaak udaaun kis ke li.e vo shahar men tha to us ke li.e auron se bhi milnaa padta tha ab aise-vaise logon ke main naaz uthaaun kis ke li.e ab shahar men us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin aiwaan-e-ghazal men lafzon ke gul-daan sajaun kis ke li.e muddat se koi aaya na gaya sunsaan padi hai ghar ki fazaa in khaali kamron men naasir ab shama' jalaaun kis ke li.e ab shahar men us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin aiwaan-e-ghazal men lafzon ke gul-daan sajaun kis ke li.e muddat se koi aaya na gaya sunsaan padi hai ghar ki fazaa in khaali kamron men naasir ab shama' jalaaun kis ke li.e
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
dil mohabbat men mubtala ho jaa.e jo abhii tak na ho sakaa ho jaa.e tujh men ye aib hai ki khoobi hai jo tujhe dekh le tira ho jaa.e KHud ko aisi jagah chhupaaya hai koi dhundhe to laapata ho jaa.e main tujhe chhod kar chala jaaun saaya deewaar se juda ho jaa.e bas vo itnaa kahe mujhe tum se aur phir call munkata ho jaa.e dil bhi kaisa darakht hai haafi jo tiri yaad se haraa ho jaa.e
Tehzeeb Hafi
65 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
More from Nasir Kazmi
dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai
Nasir Kazmi
11 likes
jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai
Nasir Kazmi
2 likes
naasir kya kahtaa firta hai kuchh na suno to behtar hai deewaana hai deewane ke munh na lago to behtar hai kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega rookhi-sookhi jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai kal ye taab-o-tawaan na rahegi thanda ho jaayega lahu naam-e-khuda ho jawaan abhii kuchh kar guzaro to behtar hai kya jaane kya rut badle haalaat ka koi theek nahin ab ke safar men tum bhi hamaare saath chalo to behtar hai kapde badal kar baal banaa kar kahaan chale ho kis ke li.e raat bahut kaali hai naasir ghar men raho to behtar hai
Nasir Kazmi
8 likes
dayaar-e-dil ki raat men charaaghh sa jala gaya mila nahin to kya hua vo shakl to dikha gaya vo dosti to KHair ab naseeb-e-dushmanan hui vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya judaaiyon ke zakham dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi neend aa gaii mujhe bhi sabr aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya
Nasir Kazmi
1 likes
musalsal bekli dil ko rahi hai magar jeene ki soorat to rahi hai main kyun firta hooñ tanhaa maara maara ye bastii chain se kyun so rahi hai chale dil se ummeedon ke musaafir ye nagri aaj khaali ho rahi hai na samjho tum ise shor-e-bahaaraan khizaan patton men chhup kar ro rahi hai hamaare ghar ki deewaron pe naasir udaasi baal khole so rahi hai
Nasir Kazmi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nasir Kazmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.







