ghazalKuch Alfaaz

sahr-e-gah-e-id men daur-e-subu tha par apne jaam men tujh bin lahu tha ghhalat tha aap se ghhafil guzarna na samjhe ham ki is qalib men tu tha chaman ki vaz' ne ham ko kya daaghh ki har ghhuncha dil-e-pur-arzu tha gulo-aina kya khurshid-o-mah kya jidhar dekha tidhar tera hi ru tha karoge yaad baten to kahoge ki koi rafta-e-bisyar-go tha jahan par hai fasane se hamare dimaghh-e-ishq ham ko bhi kabhu tha magar divana tha gul bhi kisu ka ki pairahan men so jaaga rafu tha kahin kya baal tere khul gae the ki jhonka baav ka kuchh mushkbu tha na dekha 'mir' avara ko lekin ghhubar ik na-tavan sa ku-ba-ku tha sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha par apne jam mein tujh bin lahu tha ghalat tha aap se ghafil guzarna na samjhe hum ki is qalib mein tu tha chaman ki waz' ne hum ko kya dagh ki har ghuncha dil-e-pur-arzu tha gulo-aina kya khurshid-o-mah kya jidhar dekha tidhar tera hi ru tha karoge yaad baaten to kahoge ki koi rafta-e-bisyar-go tha jahan par hai fasane se hamare dimagh-e-ishq hum ko bhi kabhu tha magar diwana tha gul bhi kisu ka ki pairahan mein so jaga rafu tha kahin kya baal tere khul gae the ki jhonka baw ka kuchh mushkbu tha na dekha 'mir' aawara ko lekin ghubar ek na-tawan sa ku-ba-ku tha

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

More from Meer Taqi Meer

yuñ hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon itni baatein mat banaa mujh shefate se naaseha pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon surkh rahtii hain mirii aañkhen lahu rone se shaikh may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hooñ ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe aise kis mahroom ka men shor-e-be-taaseer hooñ jon kamaan garche khameeda hooñ pe chhoota aur wahinus ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hooñ jo mire hisse men aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hooñ khol kar deevaan meraa dekh qudrat muddai garche hooñ main naujavaan par sha'iron ka peer hooñ yuñ saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hooñ is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji baaz aao warna apne naam ko main meer hooñ

Meer Taqi Meer

0 likes

mire sang-e-mazaar par farhaad rakh ke tesha kahe hai ya ustaad ham se bin marg kya juda ho malaal jaan ke saath hai dil-e-naashaad moond aañkhen safar adam ka kar bas hai dekha na aalam-e-eejaad fikr-e-ta'meer. men na rah munim zindagaani ki kuchh bhi hai buniyaad KHaak bhi sar pe daalne ko nahin kis kharaabe men ham hue aabaad sunte ho tuk suno ki phir mujh baadna sunoge ye naala o fariyaad lagti hai kuchh sumoom si to naseem KHaak kis diljale ki barbaad bhoola jaa.e hai gham-e-butaan men jee garz aata hai phir KHuda hi yaad tere qaid-e-qafas ka kya shikwa naale apne se apne se fariyaad har taraf hain aseer ham-aawaz baagh hai ghar tira to ai sayyaad ham ko marna ye hai ki kab hon kahii apni qaid-e-hayaat se azaad aisa vo shokh hai ki uthte subh jaana so jaa.e us ki hai mo'taad nahin soorat-pazeer naqsh us ka yuñ hi tasdeeq kheeche hai bahzaad khoob hai KHaak se buzurgon ki chaahna to mire tai imdaad par muravvat kahaan ki hai ai meer tu hi mujh diljale ko kar irshaad na-muraa dii ho jis pe parwaana vo jalata phire charaagh-e-muraad

Meer Taqi Meer

0 likes

jab rone baithta hooñ tab kya kasar rahe hai roomaal do do din tak jun abr tar rahe hai aah-e-sehr ki meri barchi ke vasvase se khurshid ke munh u uupar akshar sipar rahe hai aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-ravish se aane men us ke lekin kis ko khabar rahe hai un rozon itni ghaflat achchhii nahin idhar se ab iztiraab ham ko do do pahar rahe hai aab-e-hayaat ki si saari ravish hai us ki par jab vo uth chale hai ek aadh mar rahe hai talwaar ab laga hai be-dol paas rakhne KHoon aaj kal kisoo ka vo shokh kar rahe hai dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko tab se udhar hi akshar meri nazar rahe hai aaKHir kahaan talak ham ik roz ho chukenge barson se waada-e-shab har subh par rahe hai meer ab bahaar aayi sehra men chal junoon kar koi bhi fasl-e-gul men naadaan ghar rahe hai

Meer Taqi Meer

0 likes

shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka

Meer Taqi Meer

0 likes

shab tha naalaan aziz koi tha murg-e-khush-khwaan aziz koi tha thii tumhaare sitam ki taab us tak sabr jo yaa aziz koi tha shab ko us ka khayal tha dil men ghar men mehmaan aziz koi tha chaah beja na thii zulekha ki maah-e-kanaan aziz koi tha ab to us ki gali men khaar hai lek meer be-jaan aziz koi tha

Meer Taqi Meer

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Meer Taqi Meer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.