sar men sauda bhi nahin dil men tamanna bhi nahin lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin dil ki ginti na yaganon men na beganon men lekin us jalva-gah-e-naz se uthta bhi nahin mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost aah ab mujh se tiri ranjish-e-beja bhi nahin ek muddat se tiri yaad bhi aai na hamen aur ham bhuul gae hon tujhe aisa bhi nahin aaj ghhaflat bhi un ankhon men hai pahle se siva aaj hi khatir-e-bimar shakeba bhi nahin baat ye hai ki sukun-e-dil-e-vahshi ka maqam kunj-e-zindan bhi nahin vusat-e-sahra bhi nahin are sayyad hamin gul hain hamin bulbul hain tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin aah ye majma-e-ahbab ye bazm-e-khamosh aaj mahfil men 'firaq'-e-sukhan-ara bhi nahin ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majbur ye bhi sach hai ki tira husn kuchh aisa bhi nahin yuun to hangame uthate nahin divana-e-ishq magar ai dost kuchh aison ka thikana bhi nahin fitrat-e-husn to maalum hai tujh ko hamdam chara hi kya hai ba-juz sabr so hota bhi nahin munh se ham apne bura to nahin kahte ki 'firaq' hai tira dost magar aadmi achchha bhi nahin sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin dil ki ginti na yaganon mein na beganon mein lekin us jalwa-gah-e-naz se uthta bhi nahin mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost aah ab mujh se teri ranjish-e-beja bhi nahin ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pahle se siwa aaj hi khatir-e-bimar shakeba bhi nahin baat ye hai ki sukun-e-dil-e-wahshi ka maqam kunj-e-zindan bhi nahin wusat-e-sahra bhi nahin are sayyaad hamin gul hain hamin bulbul hain tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin aah ye majma-e-ahbab ye bazm-e-khamosh aaj mahfil mein 'firaq'-e-sukhan-ara bhi nahin ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majbur ye bhi sach hai ki tera husn kuchh aisa bhi nahin yun to hangame uthate nahin diwana-e-ishq magar ai dost kuchh aison ka thikana bhi nahin fitrat-e-husn to malum hai tujh ko hamdam chaara hi kya hai ba-juz sabr so hota bhi nahin munh se hum apne bura to nahin kahte ki 'firaq' hai tera dost magar aadmi achchha bhi nahin
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Firaq Gorakhpuri
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
firaq ik nayi soorat nikal to sakti hai ba-qaul us aankh ke duniya badal to sakti hai tire khayal ko kuchh chup si lag gaii warna kahaaniyon se shab-e-gham bahl to sakti hai uroos-e-dehr chale kha ke thokren lekin qadam qadam pe jawaani ubal to sakti hai palat pade na kahii us nigaah ka jaadu ki doob kar ye chhuri kuchh uchhal to sakti hai bujhe hue nahin itne bujhe hue dil bhi fasuregi men tabi'at machal to sakti hai agar tu chahe to gham waale shaadmaan ho jaayen nigah-e-yaar ye hasrat nikal to sakti hai ab itni band nahin gham-kadon ki bhi raahen hawa-e-kooch-e-mahboob chal to sakti hai karde hain kos bahut manzil-e-mohabbat ke mile na chaanv magar dhoop dhal to sakti hai hayaat lau tah-e-daaman-e-marg de utthi hawa ki raah men ye shama' jal to sakti hai kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai warna kisi se chhut ke tabi'at sambhal to sakti hai azal se soi hai taqdeer-e-ishq maut ki neend agar jagaaiye karvat badal to sakti hai gham-e-zamaana-o-soz-e-nihaan ki aanch to de agar na toote ye zanjeer gal to sakti hai shareek-e-sharm-o-haya kuchh hai bad-gumaani-e-husn nazar utha ye jhijak si nikal to sakti hai kabhi vo mil na sakegi main ye nahin kahtaa vo aankh aankh men pad kar badal to sakti hai badalta jaa.e gham-e-rozgaar ka markaz ye chaal gardish-e-ayyaam chal to sakti hai vo be-niyaaz sahi dil mata-e-hech sahi magar kisi ki jawaani machal to sakti hai tiri nigaah sahaara na de to baat hai aur ki girte girte bhi duniya sambhal to sakti hai ye zor-o-shor salaamat tiri jawaani bhi ba-qaul ishq ke saanche men dhal to sakti hai suna hai barf ke tukde hain dil haseenon ke kuchh aanch pa ke ye chaan dii pighal to sakti hai hañsi hañsi men lahu thookte hain dil waale ye sar-zameen magar laal ugal to sakti hai jo tu ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kaha hazaar narm ho ye baat khal to sakti hai are vo maut ho ya zindagi mohabbat parna kuchh sahi kaf-e-afsos mal to sakti hai hain jis ke bal pe khade sarkashon ko vo dharti agar kuchal nahin sakti nigal to sakti hai hui hai garm lahu pee ke ishq ki talwaar yuñ hi jilaaiye ja ye shaakh phal to sakti hai guzar rahi hai dabey paanv ishq ki devi subuk-ravi se jahaan ko masal to sakti hai hayaat se nigah-e-vaapsi hai kuchh maanoos mire khayal se aankhoñ men pal to sakti hai na bhoolna ye hai taakheer husn ki taakheer firaq aayi hui maut tal to sakti hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
bastiyaan Dhoondh rahi hain unhen veeraanon men vahshatein badh gaiin had se tire deewaanon men nigah-e-naaz na deewaanon na farzaanon men jaankaar ek vahii hai magar an-jaanon men bazm-e-may be-khud-o-be-taab na kyun ho saaqi mauj-e-baada hai ki dard uthata hai paimaanon men main to main chaunk u thii hai ye faza-e-khaamosh ye sadaa kab ki sooni aati hai phir kaanon men sair kar ujde dilon ki jo tabeeyat hai udaas jee bahl jaate hain akshar inheen veeraanon men wusaaten bhi hain nihaan tangi-e-dil men ghaafil jee bahl jaate hain akshar inheen maidaanon men jaan eemaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon kuchh kashish-ha-e-nihaan jazb hain veeraanon men khanda-e-subh-e-azal teergi-e-shaam-e-abad dono aalam hain chhalakte hue paimaanon men dekh jab aalam-e-hoo ko to naya aalam hai bastiyaan bhi nazar aane lagin veeraanon men jis jagah baith ga.e aag laga kar utthe garmiyaan hain kuchh abhii sokhta-saamaanoń men vahshatein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz daamanoń men hai ye aalam na garebaanon men ek rangeeni-e-zaahir hai gulistaan men agar ek shaadabi-e-pinhaan hai biyaabaanon men jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaaz-e-junoon kuchh biyaabaan nazar aa.e hain garebaanon men ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo aasaar-e-junoon bhi nahin deewaanon men ab vo saaqi ki bhi aañkhen na raheen rindon men ab vo saaghar bhi chhalakte nahin may-khaanon men ab vo ik soz-e-nihaani bhi dilon men na raha ab vo jalwe bhi nahin ishq ke kaashaanon men ab na vo raat jab ummeedein bhi kuchh theen tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsaano men ab tira kaam hai bas ahl-e-wafa ka paana ab tira naam hai bas ishq ke gham-khaanon men ta-b-kai waada-e-mauhoom ki tafseel firaq shab-e-furqat kahii kattee hai in afsaano men
Firaq Gorakhpuri
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







