tashheer apne dard ki har soo karaiye jee chahta hai minnat-e-tiflaan uthaiye khushboo ka haath thaam ke kijeye talaash-e-rang paanv ke naqsh dekh ke rastaa banaaiye phir aaj pattharon se mulaqaat keejie phir aaj sathe-aab pe chehre banaaiye har inkishaaf dard ke parde men aayega gar ho sake to KHud se bhi KHud ko chhu paa.e phoolon ka raasta nahin yaaro mira safar paanv aziz hain to abhii loot jaaie kab tak hina ke naam pe dete rahen lahu kab tak nigaaar-e-dard ko dulhan banaaiye amjad mataa-e-umr zaraa dekh-bhaal ke aisa na ho ki baa'd men aañsu bahaaiye
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo sarkaari elaan hua hai sach bolo ghar ke andar to jhoothon ki ek mandi hai darwaaze par likha hua hai sach bolo guldaste par yakjahti likh rakha hai guldaste ke andar kya hai sach bolo ganga maiya doobne waale apne the naav men kisne chhed kiya hai sach bolo
Rahat Indori
71 likes
ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge
Khalil Ur Rehman Qamar
50 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
Tehzeeb Hafi
203 likes
More from Amjad Islam Amjad
aainon men aks na hon to hairat rahtii hai jaise khaali aankhoñ men bhi vehshat rahtii hai har dam duniya ke hangaa men ghere rakhte the jab se tere dhyaan lage hain furqat rahtii hai karne hai to khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat baat adhuri rah jaa.e to hasrat rahtii hai shehar-e-sukhan men aisa kuchh kar izzat ban jaa.e sab kuchh miTTi ho jaata hai izzat rahtii hai bante bante dhah jaati hai dil ki har taameer KHvaahish ke bharoop men shaayad qismat rahtii hai saa.e larzate rahte hain shehron ki galiyon men rahte the insaan jahaan ab dahshat rahtii hai mausam koi KHushboo le kar aate jaate hain kya kya ham ko raat ga.e tak vehshat rahtii hai dhyaan men mela sa lagta hai beetii yaadon ka akshar us ke gham se dil ki sohbat rahtii hai phoolon ki takhti par jaise rangon ki tahreer lauh-e-sukhan par aise amjad shohrat rahtii hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
parde men laakh phir bhi numoodaar kaun hai hai jis ke dam se garmi-e-baazaar kaun hai vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake mere aur us ke beech ye deewaar kaun hai baagh-e-wafaa men ho nahin saka ye faisla sayyaad yaa pe kaun girftaar kaun hai maana nazar ke saamne hai be-shumaar dhund hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai kuchh bhi nahin hai paas pe rehta hai phir bhi KHush sab kuchh hai jis ke paas vo bezaar kaun hai yuñ to dikhaai dete hain asraar har taraf khulta nahin ki saahib-e-asraar kaun hai amjad alag si aap ne khuli hai jo dukaaan jins-e-hunar ka yaa ye khareedaar kaun hai
Amjad Islam Amjad
0 likes
bheed men ik ajnabi ka saamna achha laga sab se chhup kar vo kisi ka dekhna achha laga sur main aankhoñ ke neeche phool se khilne lage kahte kahte kuchh kisi ka sochna achha laga baat to kuchh bhi nahin theen lekin us ka ek dam haath ko honton pe rakh kar rokna achha laga chaai men cheeni milaana us ghadi bhaaya bahut zer-e-lab vo muskurata shukriya achha laga dil men kitne ahd baandhe the bhulaane ke use vo mila to sab iraade todna achha laga be-iraada lams ki vo sansanee pyaari lagii kam tavajjoh aankh ka vo dekhna achha laga neem-shab ki khaamoshi men bheegti sadkon pe kal teri yaadon ke jilau men ghoomna achha laga is adoo-e-jaan ko amjad main bura kaise kahooñ jab bhi aaya saamne vo be-vafa achha laga
Amjad Islam Amjad
4 likes
auron ka tha bayaan to mauj sadaa rahe KHud umr bhar aseer-e-lab-e-muddaa rahe misl-e-habaab behr-e-gham-e-haadsaat men ham zer-e-baar-e-minnat-e-aab-o-hawaa rahe ham us se apni baat ka maange agar javaab lehron ka pech-o-kham vo khada dekhta rahe aaya to apni aankh bhi apni na ban saki ham sochte the us se kabhi saamna rahe gulshan men the to rounaq-e-rang-e-chaman bane jungle men ham amanat-e-baad-e-saba rahe surkhi bane to khun-e-shaheedaan ka rang the raushan hue to mash'al-e-raah-e-baqa rahe amjad dar-e-nigaar pe dastak hi deejie is be-karaan sukoot men kuchh ghalghala rahe
Amjad Islam Amjad
0 likes
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar azal ka rang hai jaise misaal se baahar to phir vo kaun hai jo maavra hai har shay se nahin hai kuchh bhi yahaañ gar khayal se baahar ye kaayenaat saraapa javaab hai jis ka vo ik sawaal hai phir bhi sawaal se baahar hai yaad ahl-e-watan yuñ ki reg-e-saahil par giri hui koi machhlii ho jaal se baahar ajeeb silsila-e-rang hai tamannaa bhi had-e-urooj se aage zawaal hai baahar na us ka ant hai koi na isti'aara hai ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar dua buzurgon ki rakhti hai zakham ulfat ko kisi ilaaj kisi indimaal se baahar bayaañ ho kis tarah vo kaifiyat ki hai amjad mirii talab se faraawan majaal se baahar
Amjad Islam Amjad
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amjad Islam Amjad.
Similar Moods
More moods that pair well with Amjad Islam Amjad's ghazal.







