ghazalKuch Alfaaz

un ko bulaen aur vo na aaen to kya karen bekar jaaen apni duaen to kya karen ik zohara-vash hai aankh ke pardon men jalvagar nazron men asman na samaen to kya karen maana ki sab ke samne milne se hai hijab lekin vo khvab men bhi na aaen to kya karen ham laakh qasmen khaen na milne ki sab ghhalat vo duur hi se dil ko lubhaen to kya karen bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal allah agar vo yaad hi aaen to kya karen naseh hamari tauba men kuchh shak nahin magar shana hilaen aa ke ghataen to kya karen mai-khana duur rasta tarik ham mariz munh pher den udhar jo havaen to kya karen raton ke dil men yaad basaen kisi ki ham 'akhtar' haram men vo na bulaen to kya karen un ko bulaen aur wo na aaen to kya karen bekar jaen apni duaen to kya karen ek zohara-wash hai aankh ke pardon mein jalwagar nazron mein aasman na samaen to kya karen mana ki sab ke samne milne se hai hijab lekin wo khwab mein bhi na aaen to kya karen hum lakh qasmen khaen na milne ki sab ghalat wo dur hi se dil ko lubhaen to kya karen bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal allah agar wo yaad hi aaen to kya karen naseh hamari tauba mein kuchh shak nahin magar shana hilaen aa ke ghataen to kya karen mai-khana dur rasta tarik hum mariz munh pher den udhar jo hawaen to kya karen raaton ke dil mein yaad basaen kisi ki hum 'akhtar' haram mein wo na bulaen to kya karen

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

Tehzeeb Hafi

90 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Akhtar Shirani

vo kahte hain ranjish ki baatein bhula den mohabbat karen KHush rahen muskuraa den ghuroor aur hamaara ghuroor-e-mohabbat mah o mehr ko un ke dar par jhuka den jawaani ho gar jaavedaani to ya rab tiri saada duniya ko jannat banaa den shab-e-wasl ki be-khu dii chha rahi hai kaho to sitaaron ki shamaein bujha den bahaarein simat aayen khil jaayen kaliyaan jo ham tum chaman men kabhi muskuraa den ibadat hai ik be-khu dii se ibaarat haram ko may-e-mushk-boo se basa den vo aayenge aaj ai bahaar-e-mohabbat sitaaron ke bistar pe kaliyaan bichha den banata hai munh talkhi-e-may se zaahid tujhe baagh-e-rizwaan se kausar manga den jinhen umr bhar yaad aanaa sikhaaya vo dil se tiri yaad kyunkar bhula den tum afsaana-e-qais kya poochte ho idhar aao ham tum ko leila banaa den ye be-dardiyaan kab tak ai dard-e-ghurbat buton ko phir arz-e-haram men basa den vo sarmastiyaan bakhsh ai rashk-e-sheereen ki khusro ko khwaab-e-adam se jaga den tire vasl ki be-khu dii kah rahi hai KHudaai to kya ham KHuda ko bhula den unhen apni soorat pe yuñ naaz kab tha mire ishq-e-ruswa ko akhtar dua den

Akhtar Shirani

1 likes

na chhed zaahid-e-naadaan sharaab peene de sharaab peene de khaana-kharaab peene de abhii se apni naseehat ka zahar de na mujhe abhii to peene de aur be-hisaab peene de main jaanta hooñ chhalakta hua gunaah hai ye tu is gunaah ko be-ehtisaab peene de phir aisa vaqt kahaan ham kahaan sharaab kahaan tilism-e-dahr hai naqsh-e-bar-aab peene de mire dimaagh ki duniya ka aftaab hai ye mila ke barf men ye aftaab peene de kisi haseena ke boson ke qaabil ab na rahe to in labon se hamesha sharaab peene de samajh ke us ko ghafoor-ur-raheem peeta hoonna chhed zikr-e-azaab-o-sawaab peene de jo rooh ho chuki ik baar daagh-daar mirii to aur hone de lekin sharaab peene de sharaab-khaane men ye shor kyun machaaya hai KHamosh akhtar-e-khaana-kharaab peene de

Akhtar Shirani

0 likes

zamaan-e-hijr mite daur-e-wasl-e-yaar aa.e ilaahi ab to khizaan jaa.e aur bahaar aa.e sitam-zareefi-e-fitrat ye kya mu'ammaa hai ki jis kali ko bhi soonghoon main boo-e-yaar aa.e chaman ki har kali aamaada-e-tabassum hai bahaar ban ke mirii jaan-e-nau-bahaar aa.e hain tishna-kaam ham un baadlon se pooche koi kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aa.e tire khayal ki be-taabiyaan ma'az-allah ki ek baar bhulaayen to laakh baar aa.e vo aayen yuñ mire aagosh-e-ishq men akhtar ki jaise aankhoñ men ik khwaab-e-be-qaraar aa.e

Akhtar Shirani

0 likes

gham-e-zamaana nahin ik azaab hai saaqi sharaab la mirii haalat KHaraab hai saaqi shabaab ke li.e tauba azaab hai saaqi sharaab la mujhe paas-e-shabaab hai saaqi utha piyaala ki gulshan pe phir barsne lagii vo may ki jis ka qadah mahtaab hai saaqi nikaal parda-e-meena se dukhtar-e-raz ko ghatta men kis li.e ye mahtaab hai saaqi tu waizoon ki na sun may-kashon ki khidmat kar gunah savaab ki khaatir savaab hai saaqi zamaane-bhar ke ghamon ko hai daawat-e-gharraa ki ek jaam men sab ka javaab hai saaqi kalaam jis ka hai me'raaj haafiz-o-khayyaam yahii vo akhtar-e-khaana-kharaab hai saaqi

Akhtar Shirani

0 likes

la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan zindagaani phir kahaan naadaan jawaani phir kahaan do ghadi mil baithne ko bhi ghaneemat jaaniye umr faani hi sahi ye umr-e-faani phir kahaan aa ki ham bhi ik taraana jhoom kar gaate chalen is chaman ke taaeron ki hum-zabaani phir kahaan hai zamaana ishq-e-salma men ganwa de zindagi ye zamaana phir kahaan ye zindagaani phir kahaan ek hi bastii men hain aasaan hai milnaa aa milo kya khabar le jaa.e daur-e-aasmaani phir kahaan fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizaan aane ko hai ye chaman ye bulbulein ye naghma-khwaani phir kahaan phool chun jee khol kar aish-o-tarab ke phool chun mausam-e-gul phir kahaan fasl-e-jawaani phir kahaan aakhiri raat aa gaii jee bhar ke mil len aaj to tum se milne dega daur-e-aasmaani phir kahaan aaj aa.e ho to sunte jaao ye taaza ghazal warna akhtar phir kahaan ye sher-khwaani phir kahaan

Akhtar Shirani

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Akhtar Shirani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Akhtar Shirani's ghazal.