varna kya ab-o-hava chiiz hai kaisa mausam tere aane se hua shahr men achchha mausam ye mah-o-mehr izafi hain tire sar ki qasam vaqt batlati hain ankhen tiri chehra mausam dhuup men chhanv kahin mauj men tufan kahin jaisa ai dost tira muud hai vaisa mausam rang-o-bu rakhte hain sab phuul phal apni apni chashm-o-abru se alag ariz-o-lab ka mausam is qadar husn achanak mira dil tod na de ek to pyara hai tu is pe ye pyara mausam na vaba ke koi din raat na tanhai ke saal tere aate hi badal jaata hai saara mausam warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam tere aane se hua shahr mein achchha mausam ye mah-o-mehr izafi hain tere sar ki qasam waqt batlati hain aankhen teri chehra mausam dhup mein chhanw kahin mauj mein tufan kahin jaisa ai dost tera mud hai waisa mausam rang-o-bu rakhte hain sab phul phal apni apni chashm-o-abru se alag aariz-o-lab ka mausam is qadar husn achanak mera dil tod na de ek to pyara hai tu is pe ye pyara mausam na waba ke koi din raat na tanhai ke sal tere aate hi badal jata hai sara mausam
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
More from Idris Babar
tiri gali se guzarne ko sar jhukaaye hue faqeer hujra-e-haft-aasman uthaaye hue koi darakht saraaye ki jis men ja baitheen parinde apni pareshaaniyaan bhulaaye hue mire sawaal vahii toot-foot ki zad men javaab un ke vahii hain bane-banaaye hue ha men jo dekhte the jin ko dekhte the ham vo KHvaab KHaak hue aur vo log saa.e hue shikaariyon se mire ehtijaaj men babar darakht aaj bhi shaamil the haath uthaaye hue
Idris Babar
1 likes
ek din khwaab-nagar jaana hai aur yoonhi khaak-basar jaana hai umr bhar ki ye jo hai be-khwabi ye usii KHvaab ka harjaana hai ghar se kis vaqt chale the ham log KHair ab kaun sa ghar jaana hai maut ki pahli alaamat saahib yahii ehsaas ka mar jaana hai kisi taqreeb-e-judai ke baghair theek hai jaao agar jaana hai shor ki dhool men gum galiyon se dil ko chup-chaap guzar jaana hai
Idris Babar
2 likes
ab masafat men to aaraam nahin aa saka ye sitaara bhi mire kaam nahin aa saka ye mirii saltanat-e-khwab hai aabaad raho is ke andar koi bahraam nahin aa saka jaane khilte hue phoolon ko khabar hai ki nahin baagh men koi siyah-faam nahin aa saka har hawa-khwah ye kahtaa tha ki mahfooz hooñ main bujhne waalon men mira naam nahin aa saka main jinhen yaad hooñ ab tak yahii kahte honge shahzaada kabhi naakaam nahin aa saka dar hi lagta hai ki raaste men na rah jaaun kahii kahlawaa deejie men shaam nahin aa saka
Idris Babar
0 likes
dekha nahin chaand ne palat kar ham so ga.e KHvaab se lipt kar ab dil men vo sab kahaan hai dekho baghdaad kahaaniyon se hat kar shaayad ye shajar vahii ho jis par dekho to zaraa varq ult kar ik khauf-zada sa shaKHs ghar tak pahuncha kaii raaston men bat kar kaaghaz pe vo nazm khil uthi hai ug aaya hai phir darakht kat kar babar ye parind thak ga.e the baithe hain jo KHaak par simat kar
Idris Babar
0 likes
vo gul vo khwab-shaar bhi nahin raha so dil ye khaaksaar bhi nahin raha ye dil to us ke naam ka padaav hai jahaan vo ek baar bhi nahin raha pada hai KHud se vaasta aur is ke b'ad kisi ka e'tibaar bhi nahin raha ye ranj apni asl shakl men hai dost ki main ise sanwaar bhi nahin raha ye vaqt bhi guzar nahin raha hai aur main KHud ise guzaar bhi nahin raha
Idris Babar
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Idris Babar.
Similar Moods
More moods that pair well with Idris Babar's ghazal.







