vo chup-chaap aañsu bahaane ki raatein vo ik shaKHs ke yaad aane ki raatein shab-e-mah ki vo thandi aanche vo shabnam tire husn ke rasmusaane ki raatein jawaani ki doshijzagi ka tabassum gul-e-zaar ke vo khilaane ki raatein fuwaarein si nagmon ki padti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunaane ki raatein mujhe yaad hai teri har subh-e-rukh'sat mujhe yaad hain tere aane ki raatein pur-asraar si meri arz-e-tamanna vo kuchh zer-e-lab muskuraane ki raatein sar-e-shaam se ratjaga ke vo saamaan vo pichhle pahar neend aane ki raatein sar-e-shaam se ta-sehr qurb-e-jaanaanna jaane vo theen kis zamaane ki raatein sar-e-may-kadaa tishnagi ki vo qasmen vo saaqi se baatein banaane ki raatein ham-aaghoshiyaan shaahid-e-mehrbaan ki zamaane ke gham bhool jaane ki raatein firaq apni qismat men shaayad nahin the thikaane ke din ya thikaane ki raatein
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Firaq Gorakhpuri
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
bastiyaan Dhoondh rahi hain unhen veeraanon men vahshatein badh gaiin had se tire deewaanon men nigah-e-naaz na deewaanon na farzaanon men jaankaar ek vahii hai magar an-jaanon men bazm-e-may be-khud-o-be-taab na kyun ho saaqi mauj-e-baada hai ki dard uthata hai paimaanon men main to main chaunk u thii hai ye faza-e-khaamosh ye sadaa kab ki sooni aati hai phir kaanon men sair kar ujde dilon ki jo tabeeyat hai udaas jee bahl jaate hain akshar inheen veeraanon men wusaaten bhi hain nihaan tangi-e-dil men ghaafil jee bahl jaate hain akshar inheen maidaanon men jaan eemaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon kuchh kashish-ha-e-nihaan jazb hain veeraanon men khanda-e-subh-e-azal teergi-e-shaam-e-abad dono aalam hain chhalakte hue paimaanon men dekh jab aalam-e-hoo ko to naya aalam hai bastiyaan bhi nazar aane lagin veeraanon men jis jagah baith ga.e aag laga kar utthe garmiyaan hain kuchh abhii sokhta-saamaanoń men vahshatein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz daamanoń men hai ye aalam na garebaanon men ek rangeeni-e-zaahir hai gulistaan men agar ek shaadabi-e-pinhaan hai biyaabaanon men jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaaz-e-junoon kuchh biyaabaan nazar aa.e hain garebaanon men ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo aasaar-e-junoon bhi nahin deewaanon men ab vo saaqi ki bhi aañkhen na raheen rindon men ab vo saaghar bhi chhalakte nahin may-khaanon men ab vo ik soz-e-nihaani bhi dilon men na raha ab vo jalwe bhi nahin ishq ke kaashaanon men ab na vo raat jab ummeedein bhi kuchh theen tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsaano men ab tira kaam hai bas ahl-e-wafa ka paana ab tira naam hai bas ishq ke gham-khaanon men ta-b-kai waada-e-mauhoom ki tafseel firaq shab-e-furqat kahii kattee hai in afsaano men
Firaq Gorakhpuri
2 likes
deedaar men ik turfah deedaar nazar aaya har baar chhupa koi har baar nazar aaya chhaalon ko biyaabaan bhi gulzaar nazar aaya jab chhed par aamada har khaar nazar aaya subh-e-shab-e-hijraan ki vo chaak-garebaani ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya ho sabr ki betaabi ummeed ki maayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thii chhaai hui dil par is mulk ka har khitaa taataar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thii vo jaati hui duniya kya aakhri lamhon men beemaar nazar aaya ghash kha ke gire moosa allah-ree maayusi halka sa vo parda bhi deewaar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hasti men makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yuñ to hua jo kuchh be-kaar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko ma'amura-e-aalam ki koi gham-e-furqat men gham-khwaar nazar aaya shab kat gaii furqat ki dekha na firaq aaKHir tool-e-gham-e-hijraan bhi be-kaar nazar aaya
Firaq Gorakhpuri
1 likes
shaam-e-gham kuchh us nigaah-e-naaz ki baatein karo be-khu dii badhti chali hai raaz ki baatein karo ye sukoot-e-naaz ye dil ki ragon ka tootna KHaamushi men kuchh shikast-e-saaz ki baatein karo nikhat-e-zulf-e-pareshaan daastaan-e-shaam-e-gham subh hone tak isee andaaz ki baatein karo har rag-e-dil vajd men aati rahe dukhti rahe yoonhi us ke jaa-o-beja naaz ki baatein karo jau adam ki jaan hai jo hai paayam-e-zindagius sukoot-e-raaz us awaaz ki baatein karo ishq rusva ho chala be-kaif sa bezaar sa aaj us ki nargis-e-ghammaaz ki baatein karo naam bhi lena hai jis ka ik jahaan-e-rang-o-boo dosto us nau-bahaar-e-naaz ki baatein karo kis li.e uzr-e-taghaful kis li.e ilzaam-e-ishq aaj charkh-e-tafarqa-parvaaz ki baatein karo kuchh qafas ki teeliyon se chan raha hai noor sa kuchh fazaa kuchh hasrat-e-parvaaz ki baatein karo jo hayaat-e-jaavidaan hai jo hai marg-e-na-gahaan aaj kuchh us naaz us andaaz ki baatein karo ishq-e-be-parwa bhi ab kuchh na-shakeba ho chala shokhi-e-husn-e-karishma-saaz ki baatein karo jis ki furqat ne palat dii ishq ki kaaya firaq aaj us eesa-nafs dam-saaz ki baatein karo
Firaq Gorakhpuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







