zakham tumhaare bhar jaayenge thodii der lagegi be-sabri se kaam liya to aur bhi der lagegi sahab aaj to apna kaam kara ke jaayenge ham saari shartein poori hain phir kaisi der lagegi yuñ behaal na ho ai dil bas aate hi honge vo kal bhi der lagii thii un ko aaj bhi der lagegi seekh liya hai main ne apne aap se baatein karna fikr nahin un ko aane men kitnii der lagegi kaun ruke ab us ke dar par shaam hui ghar jaayen itnaa zaroori kaam nahin hai jitni der lagegi itni der men kuchh ke kuchh ho jaayenge haalaat khat likhne se khat milne tak jitni der lagegi maar-gazeeda kaun bacha hai baasir shukr karo tum theek bhi ho jaaoge lekin khaasi der lagegi
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
jhuk ke chaltaa hooñ ki qad uske barabar na lage doosra ye ki use raah men thokar na lage ye tere saath ta'alluq ka badaa faayda hai aadmi ho bhi to auqaat se baahar na lage neem tareek sa maahol hai darkaar mujhe aisa maahol jahaan aankh lage dar na lage maaoon ne choomna hote hain burida sar bhius se kehna ki koi zakham jabeen par na lage ye talabgaar nigaahon ke taqaze har soo koi to aisi jagah ho jo mujhe ghar na lage ye jo aaina hai dekhooñ to khala dikhta hai is jagah kuchh bhi na lagwaaoon to behtar na lage tum ne chhodaa to kisi aur se takraaoonga. main kaise mumkin hai ki andhe ka kahii sar na lage
Umair Najmi
46 likes
More from Basir Sultan Kazmi
ham jaise teg-e-zulm se dar bhi ga.e to kya kuchh vo bhi hain jo kahte hain sar bhi ga.e to kya uthatii raheingi dard ki teesen tamaam umr hain zakham tere haath ke bhar bhi ga.e to kya hain kaun se bahaar ke din apne muntazir ye din kisi tarah se guzar bhi ga.e to kya ik makr hi tha aap ka ifa-e-ahd bhi apne kahe se aaj mukar bhi ga.e to kya ham to isee tarah se firenge kharaab-haal ye she'r tere dil men utar bhi ga.e to kya baasir tumhein yahaañ ka abhii tajurba nahin beemaar ho pade raho mar bhi ga.e to kya
Basir Sultan Kazmi
1 likes
kitnii hi be-zarar sahi teri kharaabiyaan baasir kharaabiyaan to hain phir bhi kharaabiyaan haalat jagah badlne se badli nahin mirii hoti hain har jagah ki kuchh apni kharaabiyaan tu chahta hai apni nayi khoobiyo ki daad mujh ko aziz teri puraani kharaabiyaan joohee ta'alluqaat kisi se hue KHaraab saare jahaan ki us men milengi kharaabiyaan sarkaar ka hai apna hi meaar-e-intikhaab yaaro kahaan ki khoobiyaan kaisi kharaabiyaan aadam KHataa ka putla hai gar maan len ye baat niklengi is kharaabi se kitnii kharaabiyaan un hastiyon ki raah pe dekhenge chal ke ham jin men na theen kisi bhi tarah ki kharaabiyaan boenge apne baagh men sab khoobiyo ke beej jad se ukhaad fenkengi saari kharaabiyaan baasir ki shakhsiyat bhi ajab hai ki is men hain kuchh khoobiyaan KHaraab kuchh achchhii kharaabiyaan
Basir Sultan Kazmi
0 likes
kar liya din men kaam aath se paanch ab chale daur-e-jaam aath se paanch chaand hai aur aasmaan hai saaf rahiye bala-e-baam aath se paanch ab to ham ban ga.e hain ek masheen ab hamaara hai naam aath se paanch she'r kya shaay'ri ke baare men sochna bhi haraam aath se paanch kuchh khareed to bhaav paanch ke aath aur bechein to daam aath se paanch vo mile bhi to bas ye poochhenge kuchh mila kaam-waam aath se paanch sohbat-e-ahl-e-zauq hai baasir ab sunaao kalaam aath se paanch
Basir Sultan Kazmi
0 likes
ye nahin hai ki tujhe main ne pukaara kam hai mire naalon ko hawaon ka sahaara kam hai is qadar hijr men ki nazm-shumaari ham ne jaan lete hain kahaan koi sitaara kam hai dosti men to koi shak nahin us ki par vo dost dushman ka ziyaada hai hamaara kam hai saaf izhaar ho aur vo bhi kam-az-kam do baar ham vo aaqil hain jinhen ek ishaara kam hai ek rukhsaar pe dekha hai vo til ham ne bhi ho samarkand muqaabil ki bukhara kam hai itni jal dii na banaa raay mire baare men ham ne hamraah abhii vaqt guzaara kam hai baagh ik ham ko mila tha magar us ko afsos ham ne jee bhar ke bigaara hai sanwaara kam hai aaj tak apni samajh men nahin aaya baasir kaun sa kaam hai vo jis men khasaara kam hai
Basir Sultan Kazmi
0 likes
hote hain jo sab ke vo kisi ke nahin hote auron ke to kya honge vo apne nahin hote mil un se kabhi jaagte hain jin ke muqaddar teri tarah har vaqt vo soye nahin hote din men jo fira karte hain hushiyaar o khabar-daar vo meri tarah raat ko jaage nahin hote ham un ki taraf se kabhi hote nahin ghaafil rishte vahii pakke hain jo pakke nahin hote aghyaar ne muddat se jo roke hue the kaam ab ham bhi ye dekhenge vo kaise nahin hote naakaami ki soorat men mile taana-e-na-yaft ab kaam mire itne bhi kacche nahin hote shab ahl-e-hawas aise pareshaan the baasir jaise meh-o-anjum kabhi dekhe nahin hote
Basir Sultan Kazmi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Basir Sultan Kazmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Basir Sultan Kazmi's ghazal.







