ghazalKuch Alfaaz

zamin chhod kar main kidhar jaunga andheron ke andar utar jaunga miri pattiyan saari sukhi huiin nae mausamon men bikhar jaunga agar aa gaya aaina samne to apne hi chehre se dar jaunga vo ik aankh jo meri apni bhi hai na aai nazar to kidhar jaunga vo ik shakhs avaz dega agar main khali sadak par thahar jaunga palat kar na paaya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaunga tiri zaat men saans li hai sada tujhe chhod kar main kidhar jaunga zamin chhod kar main kidhar jaunga andheron ke andar utar jaunga meri pattiyan sari sukhi huin nae mausamon mein bikhar jaunga agar aa gaya aaina samne to apne hi chehre se dar jaunga wo ek aankh jo meri apni bhi hai na aai nazar to kidhar jaunga wo ek shakhs aawaz dega agar main khali sadak par thahar jaunga palat kar na paya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaunga teri zat mein sans li hai sada tujhe chhod kar main kidhar jaunga

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

More from Adil Mansuri

zameen chhod kar main kidhar jaaunga andheron ke andar utar jaaunga mirii pattiyaan saari sookhi hui naye mausamon men bikhar jaaunga agar aa gaya aaina saamne to apne hi chehre se dar jaaunga vo ik aankh jo mirii apni bhi haina aayi nazar to kidhar jaaunga vo ik shaKHs awaaz dega agar main khaali sadak par thehar jaaunga palat kar na paaya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaaunga tiri zaat men saans li hai sadaa tujhe chhod kar main kidhar jaaunga

Adil Mansuri

4 likes

chehre pe chamchamaati hui dhoop mar gaii suraj ko dhalta dekh ke phir shaam dar gaii mabahoot se khade rahe sab bas ki line men koolhe uchaalti hui bijli guzar gaii suraj vahii tha dhoop vahii shahar bhi vahii kya cheez thii jo jism ke andar tithir gaii KHvaahish sukhaane rakkhi thii kothe pe dopahar ab shaam ho chali miyaan dekho kidhar gaii tahleel ho gaii hai hawa men udaasiyaan khaali jagah jo rah gaii tanhaaii bhar gaii chehre baghair niklaa tha us ke makaan se rusvaaiyon ki had se bhi aage khabar gaii rangon ki surkh naaf daakhilya gul-aftaab andhi hawaaein khaar khatk kaan bhar gaii

Adil Mansuri

0 likes

jeeta hai sirf tere li.e kaun mar ke dekh ik roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh manzil yahiin hai aam ke pedon ki chaanv men ai shehsawaar ghode se neeche utar ke dekh toote pade hain kitne ujaalon ke ustukhwaan saaya-numa andhere ke andar utar ke dekh phoolon ki tang-daamani ka tazkira na kar KHushboo ki tarah mauj-e-saba men bikhar ke dekh tujh par khulenge maut ki sarhad ke raaste himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh dariyaa ki wusaaton se use naapte nahin tanhaaii kitnii gahri hai ik jaam bhar ke dekh

Adil Mansuri

0 likes

chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko aur us ke saath hukm ki ab zindagi karo baahar gali men shor hai barsaat ka suno kun dii laga ke aaj to ghar men pade raho chhod aa.e kis ki chat pe jawaan-saal chaand ko KHaamosh kis li.e ho sitaaro javaab do kyun chalte chalte ruk ga.e veeraan raasto tanhaa hooñ aaj main zaraa ghar tak to saath do jis ne bhi mud ke dekha vo patthar ka ho gaya nazrein jhuk aa.e dosto chup chup chale chalo allah rakhe teri sehar jaisi kam-sini dil kaanpata hai jab bhi tu aati hai shaam ko veeraan chaman pe roee hai shabnam tamaam raat aise men koi nanhi kali muskur aa.e to aadil hawaaein kab se bhi deti hain dastaken jal dii se uth ke kamre ka darwaaza khol do

Adil Mansuri

0 likes

ek qatra ashk ka chhalaka to dariyaa kar diya ek musht-e-khaak jo bikhri to sehra kar diya mere toote hausale ke par nikalte dekh karus ne deewaron ko apni aur ooncha kar diya waardaat-e-qalb likkhi ham ne farzi naam se aur haathon-haath us ko KHud hi le ja kar diya us ki naaraazi ka suraj jab sawaa neze pe tha apne harf-e-izz hi ne sar pe saaya kar diya duniya bhar ki KHaak koi chaanta firta hai ab aap ne dar se utha kar kaisa rusva kar diya ab na koi khauf dil men aur na aankhoñ men umeed tu ne marg-e-na-gahaan beemaar achha kar diya bhool ja ye kal tire naqsh-e-qadam the chaand par dekh un haathon ko kis ne aaj kaasa kar diya ham to kehne ja rahe the hamza-e-ye wassalaam beech men us ne achaanak noon-ghunna kar diya ham ko gaali ke li.e bhi lab hila sakte nahin gair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya teergii ki bhi koi had hoti hai aaKHir miyaan surkh parcham ko jala kar hi ujaala kar diya bazm men ahl-e-sukhan taqteea farmaate rahe aur ham ne apne dil ka bojh halka kar diya jaane kis ke muntazir baithe hain jhaadoo fer kar dil se har KHvaahish ko aadil ham ne chaltaa kar diya

Adil Mansuri

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Adil Mansuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Adil Mansuri's ghazal.