ghazalKuch Alfaaz

zindagi dard ki kahani hai chashm-e-anjum men bhi to paani hai be-niyazana sun liya ghham-e-dil mehrbani hai mehrbani hai vo bhala meri baat kya maane us ne apni bhi baat maani hai shola-e-dil hai ye ki shoala-saz ya tira shola-e-javani hai vo kabhi rang vo kabhi khushbu gaah gul gaah rat-rani hai ban ke maasum sab ko taad gai aankh us ki badi siyani hai ap-biti kaho ki jag-biti har kahani miri kahani hai donon aalam hain jis ke zer-e-nagin dil usi ghham ki rajdhani hai ham to khush hain tiri jafa par bhi be-sabab teri sargirani hai sar-ba-sar ye faraz-e-mahr-o-qamar teri uthti hui javani hai aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq go kahani bahut purani hai zabt kiije to dil hai angara aur agar roiye to paani hai hai thikana ye dar hi us ka bhi dil bhi tera hi astani hai un se aise men jo na ho jaae nau-javani hai nau-javani hai dil mira aur ye ghham-e-duniya kya tire ghham ki pasbani hai gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran daur-e-aflak ki bhi paani hai ai lab-e-naz kya hain vo asrar khamushi jin ki tarjumani hai mai-kadon ke bhi hosh udne lage kya tiri aankh ki javani hai khud-kushi par hai aaj amada are duniya badi divani hai koi izhar-e-na-khushi bhi nahin bad-gumani si bad-gumani hai mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq zindagi hijr ki kahani hai bahr-e-hasti bhi jis men kho jaae buund men bhi vo be-karani hai mil gae khaak men tire ushshaq ye bhi ik amr-e-asmani hai zindagi intizar hai tera ham ne ik baat aaj jaani hai kyuun na ho ghham se hi qimash us ka husn tasvir-e-shadmani hai suuni duniya men ab to main huun aur matam-e-ishq-e-an-jahani hai kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab raat hai niind hai kahani hai zindagi dard ki kahani hai chashm-e-anjum mein bhi to pani hai be-niyazana sun liya gham-e-dil mehrbani hai mehrbani hai wo bhala meri baat kya mane us ne apni bhi baat mani hai shola-e-dil hai ye ki shoala-saz ya tera shola-e-jawani hai wo kabhi rang wo kabhi khushbu gah gul gah raat-rani hai ban ke masum sab ko tad gai aankh us ki badi siyani hai aap-biti kaho ki jag-biti har kahani meri kahani hai donon aalam hain jis ke zer-e-nagin dil usi gham ki rajdhani hai hum to khush hain teri jafa par bhi be-sabab teri sargirani hai sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar teri uthti hui jawani hai aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq go kahani bahut purani hai zabt kije to dil hai angara aur agar roiye to pani hai hai thikana ye dar hi us ka bhi dil bhi tera hi aastani hai un se aise mein jo na ho jae nau-jawani hai nau-jawani hai dil mera aur ye gham-e-duniya kya tere gham ki pasbani hai gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran daur-e-aflak ki bhi pani hai ai lab-e-naz kya hain wo asrar khamushi jin ki tarjumani hai mai-kadon ke bhi hosh udne lage kya teri aankh ki jawani hai khud-kushi par hai aaj aamada are duniya badi diwani hai koi izhaar-e-na-khushi bhi nahin bad-gumani si bad-gumani hai mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq zindagi hijr ki kahani hai bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae bund mein bhi wo be-karani hai mil gae khak mein tere ushshaq ye bhi ek amr-e-asmani hai zindagi intizar hai tera hum ne ek baat aaj jaani hai kyun na ho gham se hi qimash us ka husn taswir-e-shadmani hai suni duniya mein ab to main hun aur matam-e-ishq-e-an-jahani hai kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab raat hai nind hai kahani hai

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Firaq Gorakhpuri

ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai

Firaq Gorakhpuri

1 likes

sitaaron se uljhta ja raha hooñ shab-e-furqat bahut ghabra raha hooñ tire gham ko bhi kuchh bahla raha hooñ jahaan ko bhi samajhta ja raha hooñ yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaan ye hai ki dhoke kha raha hooñ agar mumkin ho le le apni aahat khabar do husn ko main aa raha hooñ hadein husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat dhaa raha hooñ khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire haathon men lutta ja raha hooñ asar bhi le raha hooñ teri chup ka tujhe qaail bhi karta ja raha hooñ bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyun sharmaa raha hooñ unhin men raaz hain gul-baariyon ke main jo chingaariyaan barsa raha hooñ jo un maasoom aankhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha hooñ tire pahluu men kyun hota hai mehsoos ki tujh se door hota ja raha hooñ had-e-jor-o-karam se badh chala husn nigah-e-yaar ko yaad aa raha hooñ jo uljhi thii kabhi aadam ke haathon vo gut thii aaj tak suljhaa raha hooñ mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhoolta sa ja raha hooñ ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai vo nag men zindagi ke ga raha hooñ ye sannaata hai mere paanv ki chaap firaq apni kuchh aahat pa raha hooñ

Firaq Gorakhpuri

2 likes

haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e

Firaq Gorakhpuri

1 likes

deedaar men ik turfah deedaar nazar aaya har baar chhupa koi har baar nazar aaya chhaalon ko biyaabaan bhi gulzaar nazar aaya jab chhed par aamada har khaar nazar aaya subh-e-shab-e-hijraan ki vo chaak-garebaani ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya ho sabr ki betaabi ummeed ki maayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thii chhaai hui dil par is mulk ka har khitaa taataar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thii vo jaati hui duniya kya aakhri lamhon men beemaar nazar aaya ghash kha ke gire moosa allah-ree maayusi halka sa vo parda bhi deewaar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hasti men makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yuñ to hua jo kuchh be-kaar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko ma'amura-e-aalam ki koi gham-e-furqat men gham-khwaar nazar aaya shab kat gaii furqat ki dekha na firaq aaKHir tool-e-gham-e-hijraan bhi be-kaar nazar aaya

Firaq Gorakhpuri

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.