naaqoos se garz hai na matlab azaan se hai mujh ko agar hai ishq to hindostaan se hai tahzeeb-e-hind ka nahin chashma agar azal ye mauj-e-rang-rang phir aayi kahaan se hai zarre men gar tadap hai to is arz-e-paak se suraj men raushni hai to is aasmaañ se hai hai is ke dam se garmi-e-hangaama-e-jahaan maghrib ki saari raunaq isee ik dukaaan se hai
Related Nazm
us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat
Varun Anand
475 likes
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai
Tehzeeb Hafi
180 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka
Jaun Elia
216 likes
More from Zafar Ali Khan
ai nukta-varaan-e-sukhan-aara-o-sukhan-sanj ai naghma-giraan-e-chamanistaan-e-maafi maana ki dil-afroz hai afsaana-e-azra maana ki dil-aawez hai salma ki kahaanii maana ki agar chhed haseenon se chali jaa.e kat jaayega is mashghale men ahad-e-jawaani garmaayega ye hamhama afsurda dilon ko badh jaayegi dariya-e-tabeeat ki ravaani maana ki hain aap apne zamaane ke nazeeri maana ki har ik aap men hai urfi-e-saani maana ki hadees-e-khat-o-rukhsaar ke aage bekar hai mashshaaiyon ki falsafa-daani maana ki yahii zulf o khat-o-khaal ki roodaad hai maaya-e-gul-kaari-e-aivaan-e-maafi lekin kabhi is baat ko bhi aap ne socha ye aap ki taqweem hai sadiyon ki puraani maashooq naye bazm nayi rang naya hai paida naye khaa men hue hain aur naye maani mizgaan ki sinaan ke evaz ab sunti hai mehfil kaanton ki kathaa barhana-paai ki zabaani lazzat vo kahaan laal-e-lab-e-yaar men hai aaj jo de rahi hai pet ke bhookhon ki kahaanii badla hai zamaana to badliye ravish apni jo qaum hai bedaar ye hai us ki nishaani ai hum-nafso yaad rahe khoob ye tum ko bastii nayi mashriq men humeen ko hai basaani
Zafar Ali Khan
0 likes
zinda-baash ai inqilaab ai shola-e-faanus-e-hind garmiyaan jis ki farogh-e-mankul-e-jaan ho gaiin bastiyon par chha rahi theen maut ki khaamoshiyaan tu ne soor apna jo phoonka mahsharistan. ho gaiin jitni boonden theen shaheedaan-e-watan ke KHoon ki qasr-aazaa dii ki aaraish ka saamaan ho gaiin marhaba ai nau-giraftaar-e-bedad-e-farang jin ki zanjeeren kharosh-afza-e-zindaan ho gaiin zindagi un ki hai deen un ka hai duniya un ki hai jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurbaan ho gaiin
Zafar Ali Khan
0 likes
prayaag men mili hai jamuna se aa ke ganga pighla hua ye neelam bahta hua vo heera in ki judaaiyon ne kheecha hai naqsh-e-jauza in ki ravaaniyaan hain shaan-e-khuda-e-yakta sangam ki seedhiyon par moti ludhak raha hai
Zafar Ali Khan
0 likes
ashnaan karne ghar se chale laala-laal-chand aur aage aage lala ke un ki bahu gaii poocha jo main ne lala lallaain kahaan gaiin neechi nazar se kehne lage vo bhi choo gaii main ne diya javaab unhen az-rah-e-mazaq kya vo bhi koi chat thii ki baarish se choo gaii kehne lage ki aap bhi hain maskhare ajab ab tak bhi aap se na tamaskhur ki khoo gaii choo hoshiyaar par main na dii se hai ye muraad bibi tameez bhi hain wahin karne wuzoo gaii main ne kaha ki choo se agar hai muraad joo phir yuñ kaho ki ta-b-lab-e-aab-joo gaii kyun ainthen hain maash ke aate ki tarah aap dhoti se aap ki nahin hal dii ki boo gaii lutfe-zabaan se kya ho sarokaar aap ko daaman ko aap ke nahin tahzeeb choo gaii hin dii ne aa ke jeem kooche se badal diya choo aayi kohsaar se gulshan se joo gaii lahjaa hua durusht zabaan ho gaii karkht lutf-e-kalam-o-shistagi-e-guftugu gaii maani ko hai gilaa ki hua be-hijaab main shikwa hai lafz ko ki mirii aabroo gaii afsos mulk men na rahi faarsi ki qadr masti udri sharaab se phoolon ki boo gaii
Zafar Ali Khan
0 likes
baarha dekha hai tu ne aasmaañ ka inqilaab khol aankh aur dekh ab hindostaan ka inqilaab maghrib o mashriq nazar aane lage zer-o-zabar inqilaab-e-hind hai saare jahaan ka inqilaab kar raha hai qasr-aazaa dii ki buniyaad ustuvaar fitrat-e-tifl-o-zan-o-peer-o-jawan ka inqilaab sabr waale chha rahe hain jabr ki aqliim par ho gaya farsooda shamsher-o-sinaan ka inqilaab
Zafar Ali Khan
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zafar Ali Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Zafar Ali Khan's nazm.







