ek be-tuki nazm aaj bistar hi men hooñ kar diya hai aaj mere muzmahil azaa ne izhaar-e-baghaavat barmala meraa jism-e-na-taawaan meraa ghulaam-e-ba-wafaa Vaaqaii maaloom hota hai thaka haara hua aur main ek sakht geer aqaa zamaane ka ghulaam kis qadar majboor hooñ pet pooja ke li.e do qadam bhi uth ke ja saka nahin mere chaa kar paanv shal hain jhuk gaya hooñ in kameenon ki raza ke saamne sar utha saka nahin aaj bistar hi men hooñ
Related Nazm
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii
Tehzeeb Hafi
236 likes
ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka
Jaun Elia
216 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men
Muneer Niyazi
108 likes
More from Hafeez Jalandhari
imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke jahaan ab kaar-khaane ban ga.e sarmaaya-daaron ke maweshi ho ga.e neelaam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane saahookaar jaane ya KHuda jaane zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe naye bhatoon men eenten thaapte firte hain halwahe yahaañ apne purane gaav ka ab kya raha baaki yahii takiya yahii ik main yahii ik jhonpadaa baaki azeemushshaan bastii hai ye nau-aabaad veeraana yahaañ ham ajnabi dono hain main aur meraa kaashaana
Hafeez Jalandhari
1 likes
aaj baadal khoob barsa aur baras kar khul gaya gulsitaan ki daali daali patta patta dhul gaya dekhna kya dhul gaya saare ka saara aasmaañ udaa udaa neela neela pyaara pyaara aasmaañ hat gaya baadal ka parda mil gaii kirnon ko raah saltanat par apni phir khurshid ne daali nigaah dhoop men hai ghaas par paani ke qatron ki chamak maat hai is vaqt moti aur heere ki damak de rahi hai lutf kya sarsabz pedon ki qataar aur hari shaakhon pe hai rangeen phoolon ki bahaar kya parinde phir rahe hain chahchahaate har taraf raagini barsaat ki KHush ho ke gaate har taraf dekhna vo kya achambha hai are vo dekhna aasmaañ par in darakhton se pare vo dekhna ye koi jaadu hai ya sach-much hai ik rangeen kamaan waah vaa kaisa bhala lagta hai ye pyaara samaan kis musavvir ne bhare hain rang aise khushnuma is ka har ik rang hai aankhoñ men jaise khub gaya ik jagah kaise ikatthe kar diye hain saath rang shokh hain saaton ke saaton ik nahin hai maat rang hai ye qudrat ka nazaara aur kya kahiye ise bas yahii jee chahta hai dekhte rahiye ise nanhe nanhe jama the paani ke kuchh qatre vahaañ un pe daala aks suraj ne banaa dii ye kamaan dekho dekho ab mitti jaati hai vo pyaari dhanak dekhte hi dekhte gum ho gaii saari dhanak phir hawa men mil gaii vo sab ki sab kuchh bhi nahin aañkhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin
Hafeez Jalandhari
1 likes
lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke
Hafeez Jalandhari
0 likes
aage peeche daayein baayein kaayein kaayein kaayein kaayein subh-savere noor ke tadke munh dho-dha kar nanhe ladke baithe hain jab khaana khaane kawwe lagte hain mandalaane tauba tauba dheeth hain kitne kawwe hain ya kaale fitne laakh hankaao laakh udaao munh se cheekh haath hilaao ghuro ghudko ya dhutkaaro koi cheez utha kar maaro kawwe baaz nahin aate hain jaate hain phir aa jaate hain har dam hai khaane ki aadat shor machaane ki hai aadat bacchon se bilkul nahin dartaa un ki kuchh parwa nahin karta dekha nanha bholа-bhaala cheen liya haathon se nivaala koi ishaara ho ya aahat taar ke ud jaata hai jhat-pat ab karne do kaayein kaayein ham kyun apni jaan khapaayein
Hafeez Jalandhari
2 likes
ik baar phir watan men gaya ja ke aa gaya lakht-e-jigar ko KHaak men dafna ke aa gaya har hum-safar pe khizr ka dhoka hua mujhe aab-e-baqa ki raah se katara ke aa gaya hoor-e-lahd ne cheen liya tujh ko aur main apna sa munh li.e hue sharmaa ke aa gaya dil le gaya mujhe tiri turbat pe baar baar awaaz de ke baith ke ukta ke aa gaya roya ki tha jahez tira waajib-ul-ada meh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya meri bisaat kya thii huzoor-e-razaa-e-dost tinka sa ek saamne dariyaa ke aa gaya ab ke bhi raas aayi na hubb-e-watan hafiz ab ke bhi ek teer-e-qaza kha ke aa gaya
Hafeez Jalandhari
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







