anjaam-e-wafa ye hai jisne bhi mohabbat kii marne kii dua maangi jeene kii saza paai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
ye uski mohabbat hai ki rukta hai tere paas varna teri daulat ke siva kya hai tere paas
Zia Mazkoor
88 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
More from Nushur Wahidi
ik nazar ka fasana hai duniya sau kahaanii hai ik kahaanii se
Nushur Wahidi
14 likes
badi hasrat se insaan bachpane ko yaad karta hai ye phal pak kar dobara chahta hai khaam ho jaa.e
Nushur Wahidi
16 likes
hazaar shama' farozaan ho raushni ke li.e nazar nahin to andhera hai aadmi ke li.e
Nushur Wahidi
4 likes
jo bismil banaa de vo qaateel tabassum jo qaateel banaa de vo dilkash nazaara mohabbat ka bhi khel naazuk hai kitna nazar mil gaii aap jeete main haara
Nushur Wahidi
22 likes
hasti ka nazaara kya kahiye marta hai koi jeeta hai koi jaise ki diwali ho ki diya jalta jaa.e bujhta jaa.e
Nushur Wahidi
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nushur Wahidi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nushur Wahidi's sher.







