ai meri umr ke ladkon ye hidaayat hai tumhein dil se aage bhi chalo pet chalaane ke li.e
Related Sher
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
More from Rakesh Mahadiuree
us ek shaKHs ko ham bhoolne kii koshish meinna jaane kitnii dafa us ko yaad kar baithe
Rakesh Mahadiuree
0 likes
qalb ka naam qalb hota hai aql ka naam jee-huzoori hai
Rakesh Mahadiuree
0 likes
us or ja rahe ho to laila ko bolna majnoon ka sabr toot gaya ik kisaan par
Rakesh Mahadiuree
9 likes
pyaar kisi se kar lete hain byah kisi se ho jaata hai
Rakesh Mahadiuree
9 likes
naql ki.e to vaqt men maare jaaoge sabko apni fitrat zinda rakhti hai
Rakesh Mahadiuree
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rakesh Mahadiuree.
Similar Moods
More moods that pair well with Rakesh Mahadiuree's sher.







