bahan ka pyaar maan ki mamta do chikhti ankhen yahi tohfe the vo jin ko main aksar yaad karta tha
Related Sher
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
kuchh baat hai ki hasti mitati nahin hamaari sadiyon raha hai dushman daur e zamaan hamaara
Allama Iqbal
354 likes
pyaar ka rishta aisa rishta shabnam bhi chingaari bhi yaanii unse roz hi jhagda aur unhin se yaari bhi
Ateeq Allahabadi
101 likes
nigaahon ke taqaze chain se marne nahin dete yahaañ manzar hi aise hain ki dil bharne nahin dete humeen un se umeedein aasmaañ choone ki karte hain humeen bacchon ko apne faisley karne nahin dete
Waseem Barelvi
85 likes
mere hujre men nahin aur kahii par rakh do aasmaañ laaye ho le aao zameen par rakh do
Rahat Indori
86 likes
More from Munawwar Rana
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
ye sach hai nafraton ki aag ne sab kuchh jala daala magar ummeed ki thandi hawaaein roz aati hain
Munawwar Rana
23 likes
mohabbat ek paakizaa amal hai is li.e shaayad simat kar sharm saari ek bose men chali aayi
Munawwar Rana
31 likes
qasam deta hai bacchon ki bahaane se bulaata hai dhuaan chimni ka hamko kaarkhaane se bulaata hai
Munawwar Rana
24 likes
insaano ko jalwaayegi kal is se ye duniya jo bachcha khilauna bhi zameen par nahin rakhta
Munawwar Rana
21 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







