bhula paana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rehta hai mohabbat karne vaala is li.e barbaad rehta hai
Related Sher
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kehna ki yuñ hota to kya hota
Mirza Ghalib
149 likes
ye shahar-e-ajnabi men ab kise ja kar bataayen ham kahaan ke rahne waale hain kahaan ki yaad aati hai
Ashu Mishra
117 likes
ham to kuchh der hañs bhi lete hain dil hamesha udaas rehta hai
Bashir Badr
114 likes
More from Munawwar Rana
KHaamushi kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai zulm kar lo jab talak ye bezbaani aur hai
Munawwar Rana
0 likes
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
insaano ko jalwaayegi kal is se ye duniya jo bachcha khilauna bhi zameen par nahin rakhta
Munawwar Rana
21 likes
tum bhi saabit hue kamzor munavvar raana zindagi maangi bhi tumne to davaa se maangi
Munawwar Rana
31 likes
mohabbat ek paakizaa amal hai is li.e shaayad simat kar sharm saari ek bose men chali aayi
Munawwar Rana
31 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







