itne hijabon par to ye aalam hai husn ka kya haal ho jo dekh len parda utha ke ham
Related Sher
ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya
Jaun Elia
508 likes
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai
Faiz Ahmad Faiz
401 likes
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
khu dii ko kar buland itnaa ki har taqdeer se pahle KHuda bande se KHud pooche bataa teri raza kya hai
Allama Iqbal
471 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
More from Jigar Moradabadi
yahii hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhii ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
9 likes
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi museebat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
11 likes
vahii hai zindagi lekin jigar ye haal hai apna ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
Jigar Moradabadi
25 likes
koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha
Jigar Moradabadi
13 likes
humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega
Jigar Moradabadi
18 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







