le ke khat un ka kiya zabt bahut kuchh lekin thartharate hue hathon ne bharam khol diya
Related Sher
hamko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai
Mirza Ghalib
489 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
bansi sab sur tyaage hai ek hi sur men baaje hai haal na poochho mohan ka sab kuchh radhe radhe hai
Zubair Ali Tabish
325 likes
hazaar ishq karo lekin itnaa dhyaan rahe ki tum ko pahli mohabbat ki baddua na lage
Abbas Tabish
179 likes
mar chuka hai dil magar zinda hooñ main zahar jaisi kuchh dawaayein chahiye poochhte hain aap aap achchhe to hain jee main achha hooñ duaaein chahiye
Jaun Elia
302 likes
More from Jigar Moradabadi
ya vo the KHafaa ham se ya ham hain KHafaa un se kal un ka zamaana tha aaj apna zamaana hai
Jigar Moradabadi
15 likes
vahii hai zindagi lekin jigar ye haal hai apna ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
Jigar Moradabadi
25 likes
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi museebat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
11 likes
jahl-e-khird ne din ye dikhaaye ghat ga.e insaan badh ga.e saa.e
Jigar Moradabadi
13 likes
jab mili aankh hosh kho baithe kitne haazir javaab hain ham log
Jigar Moradabadi
29 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







