manzil mili murad mili muddaa mila sab kuchh mujhe mila jo tira naqsh-e-pa mila destination and desire and my ends attained i got everything when your footprints i obtained
Related Sher
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
mujh ko bhi unhin men se koi ek samajh le kuchh masale hote hain na jo hal nahin hote
Ali Zaryoun
126 likes
mere honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baa'd bhi duniya men kuchh paana zaroori hai
Waseem Barelvi
126 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
sair kar duniya ki ghaafil zindagaani phir kahaan zindagi gar kuchh rahi to ye jawaani phir kahaan
Khwaja Meer Dard
127 likes
More from Seemab Akbarabadi
duniya hai KHvaab haasil-e-duniya khayal hai insaan KHvaab dekh raha hai khayal men
Seemab Akbarabadi
0 likes
dil kii bisaat kya thii nigaah-e-jamaal men ik aaina tha toot gaya dekh-bhaal men
Seemab Akbarabadi
10 likes
maazi-e-marhoom kii naakaamiyon ka zikr chhod zindagi kii fursat-e-baaqi se koii kaam le
Seemab Akbarabadi
11 likes
hai husuul-e-aarzuu ka raaz tark-e-aarzoo maine duniya chhod dii to mil gaii duniya mujhe
Seemab Akbarabadi
0 likes
umr-e-daraaz maang ke laai thii chaar din do aarzoo men kat ga.e do intizaar men
Seemab Akbarabadi
60 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Seemab Akbarabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Seemab Akbarabadi's sher.







