muddat men bahaar aayi hai so log bhi KHush hain main KHush hooñ agar shahar men do log bhi KHush hain apna to ye aalam hai ki dhalti hi nahin shaam allah karen KHush rahen jo log bhi KHush hain
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
More from Akhtar Usman
ye sochna ki vo mud mud ke dekhti hogii aur us ke baad khud apne khayal par hansna
Akhtar Usman
0 likes
ye kaayenaat mere saamne hai misl-e-bisaat kahiin junoon men ult doon na is jahaan ko main
Akhtar Usman
0 likes
shaam aa.e aur ghar ke li.e dil machal uthe shaam aa.e aur dil ke li.e koii ghar na ho
Akhtar Usman
0 likes
chehre pe saa.e men bhi kharaashe dikhaai den aaina-e-hayaat pe itni nazar na ho
Akhtar Usman
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akhtar Usman.
Similar Moods
More moods that pair well with Akhtar Usman's sher.






