mujhe ab dekhti hai zindagi yuun be-niyazana ki jaise puchhti ho kaun ho tum justuju kya hai
Related Sher
bheegin palken dekh kar tu kyun ruka hai KHush hooñ main vo to meri aankh men kuchh aa gaya hai KHush hooñ main vo kisi ke saath KHush tha kitne dukkh ki baat thii ab mere pahluu men aa kar ro raha hai KHush hooñ main
Zubair Ali Tabish
105 likes
uljh karke teri agar men yuñ aabaad ho jaaun ki jaise lucknow ka main ameenabad ho jaaun main yamuna ki tarah tanhaa nihaaru taaj ko kab tak koi ganga mile to main ilahaabad ho jaaun
Ashraf Jahangeer
101 likes
ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya
Jaun Elia
508 likes
hosh waalon ko khabar kya be-khu dii kya cheez hai ishq kijeye phir samjhiye zindagi kya cheez hai
Nida Fazli
145 likes
kya khabar kaun tha vo aur meraa kya lagta tha jisse milkar mujhe har shaKHs bura lagta tha
Tehzeeb Hafi
444 likes
More from Akhtar Saeed Khan
ye be-sabab nahin aa.e hain aankh men aañsu khushi ka lamha koii yaad aa gaya hogaa
Akhtar Saeed Khan
14 likes
dushman-e-jaan hi sahi saath to ik umr ka hai dil se ab dard kii rukhsat nahin dekhi jaati
Akhtar Saeed Khan
10 likes
jurm kii tarah mohabbat ko chhupa rakkha hai ham gunahgaar nahin hain ye bataayen kis ko rooth jaate to manana koii dushwaar na tha vo ta'alluq hi na rakhen to manaae kis ko
Akhtar Saeed Khan
19 likes
kaun jeene ke li.e marta rahe lo sambhalo apni duniya ham chale
Akhtar Saeed Khan
20 likes
bahut qareeb rahi hai ye zindagi ham se bahut aziz sahi e'tibaar kuchh bhi nahin
Akhtar Saeed Khan
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akhtar Saeed Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Akhtar Saeed Khan's sher.







