sab humeen par hi laazmi hai kya tum bhi vaa'da kabhi karo koii
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
More from Zafar Siddqui
yuñ sitam usne maa pe dhaaya hai maa ke zevar hi bech aaya hai chaaploosi hai karta biwi ki aur maa ko faqat sataaya hai
Zafar Siddqui
0 likes
zulm kii intiha burii hogii soch kar bas ye mar gaya koii
Zafar Siddqui
0 likes
tum yaqeen mat masheen par rakhna paanv apne zameen par rakhna vo zafar jaal men fasaayega tum nazar us haseen par rakhna
Zafar Siddqui
0 likes
jang maidan-e-jang men hogii qatl bhi ab kisi ko hona hai
Zafar Siddqui
0 likes
ye tumhein kya hua hai kya gham hai tum batao to aankh kyuuñ nam hai ek hi ghoont men shifaa hogii peeke dekho ye aab-e-zamzam hai
Zafar Siddqui
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zafar Siddqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Zafar Siddqui's sher.







